Jinke saamne jhuka nahi wo chhod kar chale gaye,
jinke saamne jhuka wo raund kar chale gaye.

Tamannao ki mahfil to har koi sajata hai,
lekin puri uski hoti hai jo taqdeer lekar aata hai.

Zindagi tk har waqt imtehan leti hai,
aaj zindagi to kal maut deti hai.

Dukh mein aksar wahi log jyada yaad aate hai,
jo sabse jyada dukh dekar jaate hai.

Mujhse bichhad ke khush rahte ho,
lagta hai meri tarah tum bhi jhoothe ho.

Zindagi ka hum apna sabse daaw khel gaye,
jo sabse kareeb tha wahi hume dhokha de gaye.

Agar kismat likhne ka haq meri ma ko hota,
to meri zindagi mein ek bhi gam na hota.

Dhoondh rahi hu khushi ka ek pal,
na jaane kyu beet gaya wah kal.

Zindagi ki hakikat ko bas itna hi jana hai,
dard mein akele hai aur khushiyo mein jamana hai.

Zindagi har waqt apna khel khelti hai,
kabhi hasati hai to kabhi rulati hai.

Apni pith se nikle khanjaro ko jab gina maine,
thik utne hi nikle jitno ko gale lagaya tha maine.

Aansuo ka koi vajan nahi hota,
lekin nikal jaane par man halka ho jata hai.

Karni chhod di humne khud ki jasusi,
ab kya khushi aur kya mayusi.

Abhi dhoop nikalne ke baad bhi jo soya hai,
wo jarur teri yaad mein raatbhar roya hai.

Majboori mein jab koi juda hota hai,
jaruri nahi ki wo bewafa hota hai,
dekar aapki aankho mein aansu,
akele mein aapse bhi jyada rota hai.

Bahuto ko thukra kar maine tujhe apna banaya tha,
afsos hai mujhe ki maine tujhse dil lagaya tha.

Pahle jab tumhari yaad aati thi,
to chehre par muskurahat aati thi,
par ab jab bhi yaad aate hai,
to aankhon se aansu aa jaate hai.

Zindagi mein khulkar hansna bhul chuka hu,
main kisi aur se nahi khud se ruth chuka hu.

Jise main yaad tak nahi,
main baat bhi usi ki karta hu,
jise meri parwah tak nahi,
main aaj bhi usi pe marta hu.

Aansu hi hai jo jivan bhar hamare sath rahte hai,
dukh ho ya sukh bhavnao ke roop mein bahte hai.