Khamosh labo pe bhi mohabbat gungunati hai,
tu sirf meri hai dil se yahi awaaz aati hai.

Aapka ye pyar mere rishte ki shaan ban jaaye,
Aap mere gam aur khushi ki pahchan ban jaaye.

Jabse mujhe aapki mohabbat ka yehsas ho gaya,
aap aur aapki har baat mere liye khaas ho gaya.

Tumhare dil jab mere dil ko dhadkaya,
tabhi se mere dil ne tumhe apna banaya.

Jivan mein aapke aane se har mukaam mila mujhe,
ab lag raha hai kismat ka sath mila mujhe.

Sukh dukh mein tera sahara ban jaaunga,
jab bhi ruthogi main pyar se samjhaunga.

Is dil pe tere naam ko humne sajaya hai,
tere har yehsas ko apne rooh mein basaya hai.

Chand se bhi khubsurat hai tumhara ye chehra,
jise dekh zindagi ka rang ho gaya gahra.

Dhadkan ki tarah dil mein basa ke rakhu tumhe,
shishe ki tarah subah sham dekha karu tumhe.

Meri patni meri jaan ho tum,
mera pyar mera abhimaan ho tum.

Ye safar dosti ka yu hi chalta rahe,
ye suraj chaahe har sham dhalta rahe,
na dhalegi apni dosti ki subah,
chahe har rishta kyu na badalta rahe.

Dosti wo mukam hai jo chehre se nahi jaati hai,
dosti wo khushboo hai jo sanso mein bas jaati hai,
mil jaye agar koi dost tumhare jaisa,
to zindagi bhi swarg ban jaati hai.

Dosti har chehre ki pyari si muskan hoti hai,
dosti hi to sukh dukh ki pahchan hoti hai,
agar ruth bhi gaye hum to dil par mat lena,
kyuki dosti thodi si nadan hoti hai.

Ye khuda mujhpe ek yahaan kar de,
mere dost ke kismat mein muskan likh de,
na mile kabhi jivan mein use dard,
tu chahe to uski kismat mein meri jaan likh de.

Wo jaate jaate is dil ko awara kar gayi,
nazro se hi mohabbat ka ishara kar gayi.

Koshish karo koi aapse na ruthe,
zindagi mein apno ka sath na chhute,
dosti kaisi bhi ho use aisa nibhaao,
ki us dosti ki dor zindagi bhar na tute.

Tujhko apna dil de baitha hu,
pyar ka intehaan de baitha hu,
is dhadakte dil ki kasam,
tujh pe apni jaan de baitha hu.

Tu meri jarurat aur meri aadat hai,
meri to rab se bas yahi chahat hai,
pukar ke tera naam jamane ko bol du,
tu hi meri chahat aur meri mohabbat hai.

Ye dost aapki dosti ka kya khitab de,
karte hai itna pyar ki ab kya hisab de,
agar aapse bhi accha fool hota to la dete,
lekin jo khud guldasta ho use kya gulab de.

Main khud nahi jaanta ki kitne pyare ho aap,
jaan ho hamari par jaan se pyare ho aap,
dooriyon ke hone se koi fark nahi padta,
kal bhi hamare the aur aaj bhi hamare ho aap.