Ab na koi wada raha aur na hi koi hissa raha,
main toot kar bikharta raha bas yahi mera kissa raha.

Jabardasti kisi se baat karne se koi fayda nahi milta,
kyuki baat to ho jaati hai par dil nahi milta.

Mere dil ka dard kisne dekh hai,
mujhe bas khuda ne tadapte dekha hai,
hum tanhai mein baithe rote hai,
logo ne hume mahfil mein haste dekha hai.

Zindagi aise bikhari jaise dhool ho gayi hai,
mujhe chhodne ki tumse kaise bhool ho gayi hai.

Kuch log hamari zindagi mein,
sirf bharosa todne ke liye hi aate hai.

Bas kar ab tu aur kitna rulayega,
dekhna ek din tu bhi bahut pachtayega.

Waqt hume tajurbe to bahut bade bade deta hai,
lekin waqt ke sath masoomiyat chhin leta hai.

Zindagi ke mod par hume gam hi mile,
jo bhi mile hume sab dhokhebaj hi mile.

Ghutan si hone lagi hai ishq jatate huye,
main khud se ruth gaya hu tumhe manate huye.

Dekhe the jo sapne wah saare toot rahe hai,
ek ek karke saare apne chhoot rahe hai.

Zindagi ne marz ka kya khub ilaaj sujhaya,
waqt ko dawa aur khwahishon se parhej bataya.

Ye dil tu kyu rota hai,
ye duniya hai yaha aisa hi hota hai.

Log kahte hai ki dukh bura hota hai,
jab bhi aata hai rulakar jata hai,
lekin hum kahte ki dukh achha hota hai,
jab bhi aata hai kuchh sikha kar jata hai.

Gam bahut hai khulasa kaun kare,
muskura deta hu yu hi ab tamasha kaun kare.

Mohabbat to dil se ki thi,
dimaag to usne laga liya,
dil tod diya mera usne,
aur ilzaam mujhpar laga diya.

Zindagi mein besak har mauke ka fayda uthana,
lekin kisi ke bharose ka fayda mat uthana.

Shikayat hai unhe humse ki,
hume mohabbat karna nahi aata,
shikwa to is dil ko bhi hai,
par ise shikayat karna nahi aata.

Mohabbat ke natije aksar dardnaak hote dekhe hai,
ki achhe khaase log isme barbaad hote dekhe hai.

मुश्किलों से मत घबराओ क्योंकि खुदा उन्हीं को मुश्किलें देकर आजमाता हैं जिन को खुद की जीत का भरोसा होता हैं।

किसी अच्छे काम की शुरुआत के लिए कोई भी वक्त बुरा नहीं होता।