Jab bhi main apne bure halato se ghabrata hu,
to aankhe band karke Mahakaal ka naam pukarta hu.
Garaj uthe gagan ka sara aur samundar chhode apna kinara,
heel jaaye jahan sara jab gunje Mahadev ka nara.
Jab bhakti ka prasad payenge,
jab Mahadev hume bulayenge,
uthkar jhola anjan raho se,
tabhi hum kedarnath jayenge.
Na koi hamara na hum kisi ke hai,
bas ek mahadev hi hai aur hum usi ke hai.
Na main uch nich mein rahu na hi jaat paat mein rahu,
Mahakaal aap mere dil mein rahe aur main aukaat mein rahu.
Bhole ke darbaar mein duniya badal jaati hai,
rahmat se hath ki lakir badal jaati hai,
leta hai jo bhi dil se mahadev ka naam,
ek pal mein uski takdeer badal jaati hai.
Shiv ki bani Rahe aap par chhaya,
palat de jo aapki kismat ki kaya,
mile aapko wo sab jindagi mein jo,
kabhi kisi ne bhi na paya.
Kutto ki badhi tadad se sher mara nahi karte,
aur Mahakaal ke deewane kisi ke baap se dara nahi karte.
Shatranj ki chaalon ka khauf unhen hota hai jo siyasat karte,
hum to Mahadev ke bhakt hai na haar ka fikar na jeet ka jigar.
Meri ek aah ki bhi aapko khabar ho jaati hai,
mahadev ka naam lete hi har mushkil hal ho jaati hai.
Somvar ka savera hai chalo shubh shuruwat karte,
ha har har Mahadev bolke fir aage baat karte hai.
Log kahte hai ki main to bavali hu,
par main to apne Mahakaal ki ladali.
Daulat chhodi duniya chhodi sara khajana chhod diya.
Mahadev ke diwano ne raaj gharana chhod diya.
Mahadev apke kadmon ka main dhul hun,
apke hone se hi main mashhur hun.
Maya ko chahne wala bikhar jata hai,
aur Mahadev ko chahne wala nikhar jata hai.
Mahadev ke bhakto se panga,
aur bhari mahefil mein danga mat karna,
warna karunga chaurahe pe nanga,
aur bhejunga teri asthiyon ko ganga.
Bhasm ko lalat pe lagaya karte hai,
saapo ka dera gale mein sajaya karte hai,
neel kanth ke naam se jaane jaate hai,
hum bhakt hai unke jo tandav machaya karte hai.
Sabki zindagi ka apna ek mukam hai,
aur meri zindagi to bas Mahadev ke naam hai.
Din somvar bada hi pyara hota hai,
haare huye insaan ka Mahadev hi sahara hota hai.
Jhukta nahi shiv ka bhakt kisi ke aage,
wo kaal bhi kya karega Mahakaal ke aage.