Raajniti nahi dilo par raaj karne ki ichchha hai,
yahi mere guru baba Mahadev ki shiksha hai.
Hum Mahadev ke deewane hai taan ke seena chalte hai,
ye Mahadev ka jangal hai yaha sher Mahakaal ke palte hai.
Teri kripa ke bina to koi baat bhi nahi hoti,
tere darshan ke bina hamare din ki shuruaat nahi hoti.
Tan ki jaane man ki jaane, jaane chit ki chori,
us Mahakaal se kya chhipawe jiske hath hai sab ki dori.
Na koi hunar mere paas hai,
na hi bhagy mere sath hai,
fir bhi rahta hoon main befikr
kyuki Mahadev mere pass hai.
Aandhiyon aur tufaano se wo darte hai,
jinke man mein pran baste hai,
wo maut ko bhi dekhkar haste hai,
jinke man mein Mahadev baste hai.
Sabse bada tera darbar hai tu hi sab ka palanhaar hai,
saja de ya mafi Mahadev tu hi hamari sarkar.
Hum bhole ke bhakt hai janab,
kirdar mein hamare bholapan hai ye maante hai,
par yaad ye bhi jarur rakhna janab,
waqt aane par tandav karna bhi hum jaante hai.
Wahi sukhi wahi nirala wahi kismat wala,
jiska devo ke dev Mahadev ho rakhwala.
Na mahinon ki ginti na salon ka hisab
mohabbat aaj bhi hai Mahadev se beinha behisab.
Ye kaisi ghata chhai hai hawa mein nayi surkhi aai hai,
faili hai jo sugandh hawa mein jarur Mahadev ne chilam jalai hai.
Na puchho mujhse meri pahchan main ti bhasmdhari hu,
bhasm se hota jinka shringar main us Mahadev ka Pujari hu.
Andhiyon mein bhi Jaha jalta hua chirag mil jayega,
us chirag se puchna Mahadev ka pata mil jayega.
Haisiyat meri chhoti hai par man mera shivala hai,
karm main karta jaau kyuki sath mere damru wala hai.
Shero wali dahad fir sunane aaye hai,
aag ugalne ko fir parwane aaye hai,
rasta bhi chhod diya khud kaal ne,
jab dekha uske Mahakal ke deewane aaye hai.
Hum Mahadev naam ki shama ke chhote se parvane hai,
kahne wale kuch bhi kahe hum to mahadev ke deewane hai.
Mahadev ke alava na koi aise aur na hi koi mere pass hai,
Mahadev ki bhakti mein magan rahata hun isliye meri jindagi bindass.
Jab sukoon nahi milta dikhawe ki basti mein,
tab kho jata hu main Mahakaal ki masti mein.
Na main uch nich mein rahu na hi jaat paat mein rahu,
Mahakaal aap mere dil mein rahe aur main aukaat mein rahu.
Garaj uthe gagan ka sara aur samundar chhode apna kinara,
heel jaaye jahan sara jab gunje Mahadev ka nara.