Shiv ki bani Rahe aap par chhaya,
palat de jo aapki kismat ki kaya,
mile aapko wo sab jindagi mein jo,
kabhi kisi ne bhi na paya.
Garaj uthe gagan ka sara aur samundar chhode apna kinara,
heel jaaye jahan sara jab gunje Mahadev ka nara.
Na main uch nich mein rahu na hi jaat paat mein rahu,
Mahakaal aap mere dil mein rahe aur main aukaat mein rahu.
Na koi hamara na hum kisi ke hai,
bas ek mahadev hi hai aur hum usi ke hai.
Meri ek aah ki bhi aapko khabar ho jaati hai,
mahadev ka naam lete hi har mushkil hal ho jaati hai.
Jhukta nahi shiv ka bhakt kisi ke aage,
wo kaal bhi kya karega Mahakaal ke aage.
Kutto ki badhi tadad se sher mara nahi karte,
aur Mahakaal ke deewane kisi ke baap se dara nahi karte.
Din somvar bada hi pyara hota hai,
haare huye insaan ka Mahadev hi sahara hota hai.
Sabki zindagi ka apna ek mukam hai,
aur meri zindagi to bas Mahadev ke naam hai.
Bhasm ko lalat pe lagaya karte hai,
saapo ka dera gale mein sajaya karte hai,
neel kanth ke naam se jaane jaate hai,
hum bhakt hai unke jo tandav machaya karte hai.
Mahadev ke bhakto se panga,
aur bhari mahefil mein danga mat karna,
warna karunga chaurahe pe nanga,
aur bhejunga teri asthiyon ko ganga.
Maya ko chahne wala bikhar jata hai,
aur Mahadev ko chahne wala nikhar jata hai.
Mahadev apke kadmon ka main dhul hun,
apke hone se hi main mashhur hun.
Daulat chhodi duniya chhodi sara khajana chhod diya.
Mahadev ke diwano ne raaj gharana chhod diya.
Log kahte hai ki main to bavali hu,
par main to apne Mahakaal ki ladali.
Somvar ka savera hai chalo shubh shuruwat karte,
ha har har Mahadev bolke fir aage baat karte hai.
Uske hote huye tu kyun hota pareshan hai,
Mahadev ke charno samsya ka samadhan ha.
Aata hu Mahadev tere dar pe,
main apna shirsh jhukane ko,
100 janam bhi kam hai bhole,
ahesan tera chukane ko.
Kirpa jinki mere upar,
tewar bhi unhi ka vardan hai,
shaan se jeena sikhaya jisne,
mahadev unka naam hai.
Jab bhi main apne bure halato se ghabrata hu,
to aankhe band karke Mahakaal ka naam pukarta hu.