Ye bhakt fikr karta kyu hai,
fikr se hota hai kya,
rakh bharosa mahadev par,
fir dekh hota hai kya.
Kaal ka bhi us par kya aaghat ho,
jis bande par Mahakal ka hath ho.
Main sari duniya ghumna nhi chahunga,
jab baba bulayenge to kedarnath aaunga.
Chinta nahi mujhe khud ki chinta use humari hai,
kyuki humari naw ka rakshak khud bhola bhandari hai.
Nahi pata kaun hu main aur kaha mujhe jana hai,
Mahadev hi meri manzil hai aur wahi mera thikana hai.
Apani to bas itni si kahani hai,
balak hai hum uske jiski duniya diwani hai.
Jaise Hanuman ke sine mein tumko Siyapati shri ram milenge,
Sina cheer ke dekh mera tumko baba Mahakaal milenge.
Bhole ke darbaar mein duniya badal jaati hai,
rahmat se hath ki lakir badal jaati hai,
leta hai jo bhi dil se mahadev ka naam,
ek pal mein uski takdeer badal jaati hai.