Meri aankho ki chamak aur palko ki shaan ho tum,
meri chalti hui saanse aur is dhadkan ki jaan ho tum.
Mein chahta hu jab jab meri aankhe khule,
mere saamne bas tumhara hi chehra ho,
tumhara ye dil sirf mere liye dhadke,
aur is dil pe sirf mera hi pehra ho.
Kaha se laau wo lafz jo sirf tujhe sunai de,
duniya dekhe chand ko aur mujhe sirf tu dikhai de.
Har ek jaam ka nasha aapki aankho mein hai,
pal mein madhosh karde aisi ada aapki baaato mein hai.
Meri zindagi aur meri jaan ho tum,
mere liye sukoon ka dusra naam ho tum.
Mohabbat ko jab log khuda maante hai,
to pyar karne waale ko kyu bura maante hai,
jab jamana hi patthar dil hai,
fir patthar se log kyu duaa maangte hai.
Na zid hai aur na koi gurur hai hume,
bas tumhe paane ka surur hai hume,
ishq gunaah hai to galti ki humne,
ab saza jo bhi ho manjur hai hume.
jo beet gaya ab fir wo daur na aayega,
is dil mein tere siva koi aur na aayega.
Mil jaate hai kitno ko khushi,
mit jaate hai kitno ke gam,
message isliye bhejte hai hum,
taaki apna pyar na ho kabhi kam.
Tere bina ek pal bhi mujhe chain nahi aata hai,
tujhe dekhu to sara jaha rangin nazar aata hai,
tum hi ho mere dil ki dhadkan jaan lo,
tere bina mera jeevan andhera nazar aata hai.
Yaad karne ke liye hume koi cheej chahiye,
aap nahi to aap ki tasveer chahiye,
par aap ki tasveer dil bahla nahi sakti,
kyuki wo aap ki tarah muskura nahi sakti.
Tere hatho mein mujhe apni takdeer nazar aati hai,
dekhu main jo bhi chehra teri tasveer nazar aati hai.
Subha se sham rehta hai intezar,
didar ke liye dil rehta hai bekrar,
kitna karte hai hum pyar aapko,
ki nahi kar sakte lafzo ye mein izhaar.
Wo din din nahi wo raat raat nahi,
wo pal pal nahi jis pal aapki baat nahi,
aapki yaado se maut hume alag kar sake,
khud maut main bhi itni aukat nahi.
Tumhari duri dil ko bahut tadpaati hai,
na pucho tumhari yaad hume kitna satati hai,
kisi ko batate nahi ki kitna yaad karte hai,
par hamari ye khamoshi sab batati hai.
Aapki yaad mein kya hota hai hamara,
jaan kar bhi aap kyu anjaan bante ho,
hum ek pal bhi nahi rah sakte aapke bina,
aur aap akele mahino rahne ki baat karte ho.
Tu khwab bankar to aa meri zindagi mein,
main tujhe apni hakikat bana loonga,
aur kaid karke tumhe dil ke kaidkhane mein,
fir sanso ki zanjeero mein jakad loonga.
Nazar ko nazar ki khabar na lage,
koi accha bhi is kadar na lage,
aapko dekha hai bas us nazar se,
jis nazar se aapko nazar na lage.
Dil ki dhadkan aur meri sada hai tu,
meri pahli aur aakhri wafa hai tu,
chaha hai tujhe chahat se bhi badh kar,
meri chahat aur chahat ki inteha hai tu.
Har chehre mein mujhe aapka chehra nazar aata hai,
aapke bina ek lamha bhi jiya nahi jata hai,
aapki aahat sunkar hi dhadkane badh jaati hai,
aapki yaad mein na pucho kya haal ho jata hai.