Bahut kachche the tere vishvas ke dhaage,
jo hamare rishte ko bun na sake,
bharosa kiya tum par,
tum use nibha na sake.
Bharosa jitna keemtiĀ hota hai,
dhokha utna hi mahanga ho jata hai.
Aaj shaam hui kal fir suraj niklega,
bharosa rakh apne aap par har pal tu nikhrega.
Bharosa kya karna gairo par,
jab khud girke chalna hai apne hi pairo par.
Is matlabi duniya mein kisi par bharosa mat karna,
ishq aur dhokhe mein apna jeewan bekar mat karna.
Bharosa dusro par rakho to gam de jata hai,
bharosa khud par rakho to takat ban jata hai.
Jab jab bharosa kiya hai maine,
tab tab bharosa toot hai mera,
ab to kisi par par bharosa karne ka,
man hi nahi karta hai mera.
Hum samajhdar bhi itne hai ki unka jhoot pakad lete hai,
aur unke deewane bhi itne hai ki fir bhi yakeen kar lete hai.
Main maaf to har baar karta hu,
lekin bharosa sirf ek baar karta hu.
Jaise bhi ji rahe hai apne haal par,
bharosa karege sirf apne mahboob ke pyar par.
Dukh iska nahi ki tumhara sath chhut gaya hai,
afsos is baat ka hai ki hamara bharosa toot gaya hai.
Dil ki dhadkan aur meri sada ho tum,
mere bharose ki aakhiri wafa ho tum.
Keemat paani ki nahi pyas ki hoti hai,
keemat maut ki nahi sans ki hoti hai,
pyar to bahut karte hai duniya mein,
keemat pyar ki nahi vishvas ki hoti hai.
Bas ek wahi thi jo bharose wali thi,
warna to ye duniya dhokhe wali thi.
Pyar mein koi to dil tod deta hai,
dosti mein koi to bharosa tod deta hai,
zindagi jeena to koi gulab se sikhe,
jo khud toot kar do dilo ko tod deta hai.
dil ki sarhad ko tum paar na karna,
mere bharose aur vishvas ko tum bekar na karna.
Kisi par itna vishvas rakho,
ki koi use tod na paaye,
chahe koi kitni bhi koshish kar le,
rishto ka kuch ukhad na paaye.
Deeware chhoti hoti thi lekin parda hota tha,
taalo ki izaad se pahle sirf bharosa hota tha.
Ummide tairati rahti hai kashtiyan doob jaati hai,
kuch ghar salamat rahte hai aandhiyan jab bhi aati hai,
bacha le jo har tufa se use aas kahte hai,
bada majboot hai ye dhaga jise vishvas kahte hai.
Bharosa jispar karo wah nibhata nahi hai,
aur jo nibhata hai uspe hume bharosa nahi hai.