Jo bhi kahte hai hum muh pe kahte hai,
isliye kuch log humse kafa rahte hai.
Tu tod de wo kasam jo tune khai hai,
kabhi kabhi yaad karne mein kya burai hai,
tujhe yaad kiye bina raha bhi nahi jata,
tune dil mein jagah jo aisi banai hai.
Mohabbat mein milkar aisa koi kaam kare,
ki saari duniya hamare ko salaam kare.
Mohabbat kabhi lautkar nahi aati,
kyunki mohabbat hoti to chhod kar hi nahi jaati.
Lamhe judai ke bekrar karte hai,
haalat mere mujhe lachar karte hai,
aankhe meri padh lo kabhi,
hum khud kaise kahe ki aapse pyar karte hai.
Kitna pyar karte hai tumse yah kaha nahi jata,
bas itna jaante hai ki bina tumhare raha nahi jata.
Jaise jaise din guzarte ja rahe hai,
waise waise kuch log dil se utarte ja rahe hai.
Dil todna hi tha to bas ek baar kah dete,
hum khud apna dil nikal ke rakh dete.
Chamche kabhi wafadar nahi hote,
aur wafadar kisi ke chamche nahi hote.
Sharif hai hum kisi se ladte nahi,
par zamana jaanta hai kisi ke baap se darte nahi.
Yu hi sharmane lage hai akele mein muskurane lage hai,
na jaane kaisa hai yah ishq khud mein hi khone lage hai.
Tera attitude mujhe sirf chot pahunchayega,
mera attitude tujhe jalakar raakh kar jayega.
Hum bhi nahi pahchante unko,
daulat ka ghamand ho jata hai jinko.
Zindagi ko main apne andaaz mein jeeta hu,
ishq aur ladki se door rahta hu.
Itni si zindagi hai par khwab bahut hai,
jurm ka to pata nahi par ilzaam bahut hai.
Jo mere muqaddar mein hai wah khud chal kar aayega,
jo nahi hai use apna khauf layega.
Abhi meri zindagi ke fasane mat puchh mere dost,
jis din main dobara duniya ke saamne aa gaya,
samjho har fasane baya ho gaye,
aur mere dushman mujh par fida ho gaye.
Thokre khata hu par shaan se chalta hu,
main khule aasman ke niche seena taan ke chalta hu.
Irade saare mere saaf hote hai,
tabhi to log aksar mere khilaaf hote hai.
Aukaat kya hoti hai tumhe hum batayenge,
jara waqt aane do hum sabko nachayege.