Wo umar bhar kahte rahe tumhare sine mein dil nahi,
dil ka daura kya pada ye daag bhi dhul gaye.
Hatho ki lakiro pe mat ja ye galib,
naseeb unke bhi hote hai jinke hath nahi hote.
Maut pe bhi mujhe yakin hai,
tum par bhi yetbar hai,
dekhna hai pahle kaun aata hai,
hume dono ka intezar hai.
Ragon mein daudte firne ke hum nahi kayal,
jab aankh se hi na tapka to fir lahu kya hai.
Zindagi se hum apni kuch udhar nahi lete,
kafan bhi lete hai to apni zindagi dekar.
Log kahte hai dard hai mere dil mein,
aur hum thak gaye muskurate muskurate.
Har ek baat pe kahte ho tum hi tu kya hai,
tumhi kaho ki ye andaz ye guftagu kya hai.
Ye hum jo hizr mein diwar ao dar ko dekhte hai,
kabhi saba ko kabhi nabar ko dekhte hai.
Nazar lage na kahi uske dast ao baaju ko,
ye log kyu mere jakhme jigar ko dekhte hai.
Wo aaye ghar mein hamare khuda ki kudrat hai,
kabhi hum unko to kabhi apne ghar ko dekhte hai.
Isliye kam karte hai zikr tumhara,
kahi tum khaas se aam na ho jaao.
Ishq par jor nahi hai ye wo aatish galib,
ki lagaye na lage aur bujhaye na bujhe.
Aapki wafa hamesha mujhpar udhar rahegi,
meri zindagi aapki muskurahat par nisar rahegi,
diya hai aapne itna pyar mujh ko,
mar kar bhi meri zindagi aapki karzdar rahegi.
Meri zindagi ki kahani ab haqikat ban gayi hai,
sath mila jabse tera meri kismat badal gayi.
Aaj fir main aapse ek wada karna chahungi,
zindagi ka har lamha aapke sath jeena chahungi,
bhale hi ye zindagi aapke sath shuru na hui ho,
par ab puri zindagi aapke sath hi jeena chahungi.
Kabool ho gai har khwahishe hamari,
pa liya jo humne chahat tumhari,
ab nahi duaa dil mein hamare kuch bhi,
jab se mil gai hai hume zindagi tumhari.
Meri har khushi aur har baat teri hai,
sanso mein chhupi ye sans teri hai,
do pal bhi nahi rah sakte tere bin,
dhadkano ki dhadakti har aawaz bhi teri hai.
Jab wo ishq karte hai to har pal achha sa lagta hai,
shararate kuch hoti hai aur pyar bhi sachha sa lagta hai.
Meri har sans mein sanam bas naam tera hai,
meri har dhadkan ki aawaz ho tum,
tumse hi amar hai suhag mera,
meri mohabbat ke sartaj ho tum.
Ek hunar hai jo kar gaya hu main,
sabke dil se utar gaya hu main,
kya batau ki mar nahi pata,
jeete ji jab se mar gaya hu main.