Sanwar rahi hai aaj wo kisi aur ke liye,
lekin main aaj bhi bikhar raha hu uske liye.
Yu to zindagi tujhse shikayat bahut thi,
magar dard jab darj karane pahunche to katare bahut thi.
Galat jagah samman de diya vyarth de diya pyar,
heere ki kimat kya jaane kachre ke thekedar.
Mana ki zindagi mein dikkate kam nahi,
par jeene ko zindagi hai kya yahi kafi nahi.
Tere jaane se to kuch badla nahi,
raat bhi aayi magar neend aai nahi.
Ruthne ka haq hai tujhe par wajah bataya kar,
Khafa hona galat nahi par tu.khata bataya kar.
Akela khush hu main ab pareshan mat kar,
ishq hai to ishq kar ab yehsan mat kar.
Kya baat hai aaj bade chupchap se baithe ho,
koi baat dil par lagi hai ya dil laga baithe ho.
Wo kabhi dara hi nahi mujhe khone se,
wo kya afsos karenge mere na hone se.
Sath mere baitha tha par kisi aur ke kareeb tha,
wo apna sa lagne wala kisi aur ka naseeb tha.
Hath chhute bhi to rishte nahi chhoda karte,
waqt ki shakh se lamhe nahi toda karte.
Mere shahar mein kuch aise log rahte hai,
jo jism ki bhukh ko ishq kahte hai.
Sham se aankh mein nami si hai,
Aaj fir aap ki kami si hai.
Khuli kitaab ke safhe ulatte rahte hai,
hawa chale na chale din badalte rahte hai.
Hath bhi chhute to rishte nahi chhoda karte,
waqt ki shakh se lamhe nahi toda karte.
Khushboo jaise log mile afsane mein,
ek purana khat khola anjane mein.
Din kuch aisa gujarta hai koi,
jaise yehsan utarta hai koi.
Yu bhi ek baar to hota ki samundar bahta,
koi yehsas to dariya ke aane ka hota.
Lagta hai zindagi aaj khafa hai,
chaliye chodiye ye konsi pahli dafa hai.
Tumse mila jo pyar kuch naseeb the mere,
Hum un dino ameer the jab tum kareeb the mere.