bahut door ho magar bahut paas rahte ho,
aankho se door lekin dil ke paas rahte ho,
mujhe bas itna bata do meri jaan,
kya tum bhi mere bina udaas rahte ho.

Koi wada na karo koi irada na karo,
Khwahishon mein khud ko adha na karo,
milega utna hi jitna likh diya hai khuda ne,
Is taqdeer se ummid jyada na karo.

Teri khushiyo ke bich ab hum kabhi nahi aayenge,
tujhe bina bataye hi is duniya se door chale jayenge.

Yu hi khamosh rahkar tumhe aajmayenge,
dekhte hai ab hum tumhe kab yaad aayenge.

Koi ilzaam rah gaya ho to,
wo bhi hamare naam kardo,
hum to pahle se hi bure the,
ab aur badnaam kardo.

Meri zindagi ki kitaab mein har adhyay tumhara hai,
kahani to meri hai lekin har panna pe naam tumhara hai.

Har mohabbat mein ek raaj hota hai,
baat batane ka bhi andaaz hota hai,
jab tak na lage thokar bewafai ka,
har kisi ko apne pyar pe naaz hota hai.

sab paas aakar fir door chale jaate hai,
hum akele the aur akele hi rah jaate hai,
ab apne dil ka dard kise dikhaye,
marham lagane wale hi jakhm de jaate hai.

Yaha koi kisi ka khas nahi hota,
pyar karne wala har pal paas nahi hota.

Bahut ji liya unke liye,
jinko hum pasand karte the,
lekin ab jeena hai unke liye,
jo sirf hume pasand karte hai.

Khubiya itni nahi hum mein ki tumhe yaad aayenge,
par bharosa hai aap hume kabhi bhul nahi payenge.

Jaruri nahi ki hume jisse pyar ho,
us shaks ko bhi humse hi pyar ho,
mohabbat ek tarfa bhi hoti hai,
shayad uske dil mein koi aur ho.

Aksar wo log toot kar bikhar jaate hai,
jo dusre ko apni zindagi se jyada chahte hai.

Na mera dil bura tha na usme koi burai thi,
sab nasib ka khel hai kismat mein hi judai thi.

Behtar hua ki ab aankhe khul gayi hai hamari,
warna aankhe hote huye bhi andha kehti ye duniya sari.

Tumse bichadna ek pal bhi gawara na tha,
par rokte bhi tumhe kaise jab tu hamara na tha.

Takleef hume is baat ki nahi,
ki tune alag duniya bana li,
takleef to hume is baat ki hai ki,
tune bin bataye hi humse duriya bana li.

Pal bhar mein khudko mujhse dur kar gaya,
wo ek khubsurat rishte ko khatm kar gaya.

Jinhe hum zindagi mein sabse jyada haq dete hai,
wahi ek din hamare dil ko tod dete hai.

Hum apna ghar banane mein lage the,
aur wo hamara hi ghar jalane mein lage the.