Tum agar yu hi naraz baithi rahogi,
bina kuch bataye hi udaas rahogi,
is narajgi se kaise is safar ko nibha paayenge,
aur is rishte ko ham kaise aage le ja paayenge.

Har baar mujhse naraz ho jaya karti ho,
mere is dil ko bekrar karti ho,
kya khata ho gayi hai wo bata do hame,
saari galtiyo ko bhulakar gale se laga lo hame.

Ab maan bhi jaao ye gussa chod do na,
mere paas aakar dil mein jo hai use bol do na,
main to kab se baitha hu tumhare mein,
tum apne dil ke saare raaj khol do na.

Main rab se har roj tere liye khushiya maangta hu,
Har waqt aur har pal main tumhe hi chahta hu,
tum se hi to judi hai meri ye zindagi,
main tumhe apni jaan se bhi zyada chahta hu.

Ham tumhe mana lenge par tum apni,
narazgi ki wajah to bataya karo,
aisi kon si galti ho gayi hai humse,
wo galti to hame bataya karo.

Ye dil to kab se tumhara hi hai,
aur ab hum bhi tumhare hi hai,
tumhe kaise juda kar sakte hai khudse,
hamari to har sans bhi ab tumhari hi hai.

Tumse kitni mohabbat ki hai maine,
har waqt tumhe hi chaha hai maine,
aise naraz na raha karo tum mujhse,
har duaao mein sirf tumhe hi manga hai maine.

Har baar tumhara mujhse yu rooth jana,
ye mujhe bilkul bhi pasand nahi aaya,
main tumse kitni mohabbat karta hu,
shayad ye tumhe kabhi samjh nahi aaya.

Tumhe ab kis tarike se manaya jaaye,
chalo tumhe kahi bahar le jaya jaaye,
hum dono ghumne chalenge kahi dur wadiyo mein,
aur fir se purani yaado ko wapas laya jaaye.

Hum dono pahle kitne khush raha karte the,
ek dusre se kitni mohabbat kiya karte the.

Tumhare liye main kya karu tum hi batao na,
tumhare bina main kaha jaau tum hi batao na,
har baar main tumhe manane ki koshish karta hu,
isse jyada main kya karu tum hi batao na.

Tumhare haath ka khana kitna acha lagta hai,
tumhare bina ye jaha bejana sa lagta hai,
tum hi to meri dil ki dhadkan ho,
tumhare hone se hi to mujhe sukoon milta hai.

Mohabbat tumse hai aur tumse hi rahega,
tumhare door jaane se wah kam nahi hoga,
maine hamesha chaha hai tumhe aur chahta rahuga,
ab chahkar bhi ye dil tujhse juda nahi hoga.

Meri patni jaan bujhkar mujhse rooth jaati hai,
wah jaan bujhkar mujhe tadpana chahti hai,
taaki main use manau aur use gale se laga lu,
isliye meri patni baar baar naraz ho jaati hai.

Tumhare jitna koi haseen nahi ho sakta,
tumhare jitna koi pyara nahi ho sakta,
tum hi to meri zindagi ki iklauti humsafar ho,
tum se acha koi mera hamsafar nahi ho sakta.