Mere geet suna hai duniya walo ne,
lekin mera dard koi jaan na saka,
ek tera hi to sahara tha dil ko,
par tu bhi mujhe pahchan na saka.

Chaha na usne mujhe bas dekhta raha,
meri zindagi se wo is tarah khelta raha,
na utra kabhi wo meri zindagi ki jheel mein,
bas kinare par baith kar patthar faikta raha.

Tere bina zindagi adhuri hai meri,
tum mil jaao to zindagi puri hai meri,
tujhse hi zindagi ki saari khushiyan judi hai,
dusro ke sath hasna to majburi hai meri.

Jab badlo mein kali ghata chhayegi,
use yaad to hamari zaroor aayegi,
jise dar hi nahi tha kabhi mere khone ka,
use kya afsosh hoga ab mere rone ka.

Use sapne dikhane ki aadat thi aur hum bunte rahe,
use jhut bolne ki aadat thi aur hum sunte rahe.

Jin par hota hai hume maan wahi muh modte hai,
jinke sath jude hote hai sans wahi dil todte hai.

Toota hai bharosa ab dusri baar nahi karenge,
pahle ki tarah intjar nahi karenge,
ja ab teri sari bewafai maaf hai,
tujhpe fir kabhi hum bharosa nahi karenge.