Hamari nigaho mein na dekho monde chura lunga.
hamare kareeb aao mohabbat sikha dunga,
aapse bahut gehra rishta hai hamara,
sapno mein bhi aaye to apna bana lunga.
Mere din bhar ki thakan door ho jaati hai,
jab raat ko aapse baat ho jaati hai.
Tum sath rahi to har manzil puri lagti hai,
tumhare bagair apni zindagi adhuri lagti hai.
Pyar karne ka hunar hume aata nahi,
isliye hum pyar ki baaji haar gaye,
hamari zindagi se unhe bahut pyar tha,
shayad isliye wo hume zinda hi maar gaye.
Meri har ek tadap ko sukoon mil jata hai,
jab tera chehra mere samne aa jata hai.
Nasha tha unke pyar ka jisme hum kho gaye,
unhe pata bhi nahi chala ki kab hum unke ho gaye.
Saamne tum baithe raho ko karar aayega,
jitna dekhenge tumhe utna hi pyar aayega.
Bahut khubsurat hai ye aankhe tumhari,
inhe bana do kismat hamari,
hume nahi chahiye jamane ki khushiya,
agar mil jaaye mohabbat tumhari.
Andaaz meri mohabbat ka sab laga lete hai,
jab tumhara naam sunkar hum muskura dete hai.
Paas nahi ho tum fir bhi ye intjaar kyu hai,
tum hi batao na hume tumse itna pyar kyu hai.
Yehsas ke daman mein aansu girakar dekho.
pyar kitna hai aajma ke to dekho,
tumhe bhulkar kya hogi dil ki halat,
kisi aaine pe patthar gira kar dekho.
Khamosh hotho par bhi mohabbat gungunati hai,
tum meri ho dil se bas yahi awaaz aati hai.
Dheere se tumhe muskurate dekha hai,
dil se tumhe apna bana kar dekha hai,
zindagi khil khilane lagi hai meri,
kuch lamhe jab sath bita kar dekha hai.
Mere hatho mein tera hath chahiye,
zindagi ke safar mein tera sath chahiye.
Paas nahi ho fir bhi tumhe pyar karte hai,
dekhkar tasveer tumhari yaad karte hai,
dil mein itni tadap hai mere,
har waqt tujhse milne ki fariyaad karte hai.
Khwabo ko haqikat banana hai,
tere sang puri zindagi bitana hai.
Manzil bhi tum ho talash bhi tum ho,
ummeed bhi tum ho aas bhi tum ho,
tujh se judi hai meri har sanse,
ahsas tum ho pyas bhi tum ho.
Aapko pakar ab hum khona nahi chahte,
itna kush hokar ab rona nahi chahte,
yah aalam hai aapke milne ka aankho mein,
neend hai magar hum sona nahi chahte.
tu hazar baar ruthegi fir bhi mana lunga,
tujhse pyar kiya hai koi gunah nahi,
jo tujhse door hokar khudko saja dunga.
Tere kahani mein aur tere kisse mein,
mujhe rahna hai bas tere hisse mein.