Jab kuch sapne adhure rah jaate hai,
tab dil ke dard aansu bankar bah jaate hai,
jo kahte hai ki hum sirf aapke hai,
wahi bich raah mein alvida kah jaate hai.

Kisi khamosh kahani ki tarah rahta hai,
dard har aankh mein paani ki tarah rahta hai.

Uske shahar mein pyar ke mele hai,
uski bewafai ke har dard jhele hai,
mere ishq ka raha to dekho,
use paane ke khatir maut se bhi khele hai.

Barbaad kar gaya wo zindagi pyar ke naam par,
bewafai mili sirf wafa ke naam par,
jakhm hi jakhm diya usne dawa ke naam par,
khud bhi ro padi wo meri mohabbat ke anjaam par.

Mohabbat ki gahrai mein sirf bewafai hoti hai,
toot kar chahne walo ke nasheeb mein tanhai hoti hai.

Kis kis ko tu yaar banayegi,
kis kis ki tu hasrate mitayegi,
kitne hi parde daal le gunaho pe,
bewafa tu bewafa hi nazar aayegi.

Duniya mein agar jeene ki chahat na hoti,
to khuda ne mohabbat banai na hoti
log marne ki aarju na karte yaha,
agar mohabbat mein bewafai na hoti.

Khud zid pe utarta hai aur khud hi maan jata hai,
dekho ye dil hamara khud hi khud ko samjhata hai.

Har dhadkan mein ek raaj hota hai,
baat batane ka bhi ek andaaz hota hai,
jab tak thokar na lage bewafai ka,
har kisi ko apne pyar par naaz hota hai.

Mujhe uske aanchal ka aashiyana na mila,
uski zulfo ki chaaw ka thikana na mila,
kah diya usne mujhko hi bewafa,
mujhe chhodne ka aur koi use bahana na mila.

Ye bewafa bhala wafa ki kimat kya jaane,
hai bewafa to gam ye mohabbat kya jaane,
jinhe milta hai har mod par naya humsafar,
wo bhala sachhe pyar ki kimat kya jaane.

Kaun karta hai pyar yaha nibhane ke liye,
dil to bas ek khilauna hai jamane ke liye.

Mohabbat ka ajeeb karobaar humne kiya tha,
wo bewafa sahi magar pyar humne kiya tha,
agar wo chhod gaya to mat kaho bura unko,
kasoor unka nahi yetbaar humne kiya tha.