Tumhare muskurane pe apna har dard bhul jata hu,
mile jo aansu mujhe jamane se main use pi jata hu,
pata nahi kya baat hai tere is chehre mein,
ise dekhta hu to main apna chehra hi bhul jata hu.

Andaz ye pyar tumhari ek ada hai,
door ho humse ye tumhari khata hai,
dil mein aaj bhi teri tasveer hai,
jis ke niche i love you likha hai.

Meri dhadkan ka dhadkna bhi tumhare liye aam hai,
Par kaise kahu meri zuba pe har waqt tumhara hi naam hai.

Is dil ke liye kitne khaas ho tum,
har waqt mere dil ke paas ho tum.

Ye mausam hai pyar ka thoda pyar to karlo,
karte ho mohabbat agar to baho mein to bhar lo,
chalo ab mere sang sapno ki duniya mein ghum lo,
roj hum tumhe chuma karte hai aaj tum hume chum lo.

Jab se tumhara pyar humne paya hai,
tumhare har khwahisho ko pura karke dikhaya hai,
yaad karoge tum bhi hume,
ki koi tumhe apne dil mein basaya hai.

Nazre jab mili to fasana ho gaya,
ek pal mein hi dil tera deewana ho gaya,
jab se tum aaye ho meri zindagi mein,
mere pyar karne ka andaz shayrana ho gaya.

Ye dil bhi kisse mohabbat kar raha hai,
jiske ho nahi sakte usi ke liye dhadak raha hai,
kehte hai sacchi mohabbat nahi miltee,
lekin ye dil use paane ke liye kismat se lad raha hai.

Kaash ek khwahish puri ho jaati,
mere naraj hone pe wo mujhe manati,
hamara pyar itna gehra hota,
bina bataye wo dil ki baat samajh jaati.

Zindagi mein sapne hajaar hai,
par un sapno mein tumhara hi intjaar hai,
kab tak humse najre churawogi,
ab keh do ki tumhe bhi humse pyar hai.

Hume unke husn ka najara mil gya,
is dil ko dhadakne ka ishara mil gya,
ab kisi aur ki jarurat nahi hai hume,
jab se unke pyar ka hume sahara mil gya.

Kabhi tumhare dil ki dhadkan to kabhi sans ban jaayu,
tumhe is kadar chaahu ki tumhari pahchaan ban jaayu,
agar kabhi tumse door jo chale gye hum,
jaane se tumhare jeene ka armaan man jaayu.

Jab se tum mile ho khuda mujhse naraj ho gya,
ab mere kuch nahi maagne se wo pareshaan ho gya,
khuda ne pucchha kya tumhai saari khwahishe puri ho gae,
ab kya kahe unka pyar hi aakhiri khwahish ho gya.

Baato ko alfaaj bhi kaha jata hai,
kisi ki khamoshi ko pyar bhi kaha jata hai,
jaruri nahi ki har pal hum saath ho,
kabhi door rahkar bhi pyar kiya jata hai.

Hum aapki har galtiyo se pyar karege,
aapki har khwahidho ko pura hum karege,
bas ek baar keh do ki aap meri ho,
hum puri zindagi aapke sath karege.