Ye dost teri khatir main duniya tak chhod dunga,
par tune sath chhoda to main teri tange tod dunga.

Dost ko tuta dekhkar main khud bhi tut jata hu,
use samjhate samjhate main khud rone baith jata hu.

Dosti agar sachi ho to wo rang laati,
dosti apne jaisi ho to itihas banati.

Dosti mein dost, dost ka khuda hota hai,
ye mahsus tab hota hai jab wo juda hota hai.

Hatho ki lakire to hamari bhi bahut khas hai,
tabhi to tum jaise pyare dost hamare paas hai.