Dosti mein to dost, dost ka khuda hota hai,
ye mahsus tab hota hai jab wo juda hota hai.
Is dosti ke nashe mein is kadar madhosh rahoge,
ki har waqt fizaon mein ise mahsus karoge.
Dosto ki dosti mein kabhi koi rule nahi hota hai,
aur ye sikhane ke liye koi school nahi hota hai.
Dosti ka farz kuch is kadar nibhaya jaye,
ek dost rahe bhukha to dusre se bhi na khaya jaye.
Wo glass hi kya jisme drink chhoot jaaye,
wo dosti kya jo ladki ki wajah se toot jaaye.
Hum dosti karte hai to afsaane likhe jaate hai,
aur dushmani karte hai to tarikhe likhe jaate hai.
Dosti har chehre ki muskaan hoti hai,
dosti hi to sukh dukh ki pahchan hoti hai.
Dosto se kabhi door mat jaana,
dosti ka rishta umar bhar nibhaana.
Do ungali ko jodne se dosti ho jaati hai,
yahi to dosti ki khubsurti kahlati hai.
Dosto mein bas itna sa usool hona chahiye,
Dosto ki har baate kubool hona chahiye.
Dosto se toot kar rahoge to kutte bhi satayenge,
aur dosto se jud kar rahoge to sher bhi ghabrayenge.
Kash sukhe phool fir se khil jaaye,
fir se wo purane dost mil jaaye.
Yaha log duniya mein dost dekhte hai,
hum dost mein hi duniya dekhte hai.
Lakire to hamari bhi bahut khaas hai,
tabhi to itne pyare dost hamare paas hai.
Kahte hai pyar mein junoon hota hai,
magar dosti mein sukoon hota hai.