Ye raat guzregi aur fir savera ho jaayega,
par yaari ke silsile ko tum nibhaye rakhna,
jaan to nahi mangege aapse par ek guzarish hai,
ki ye jaan jaane tak dosti nibhaye rakhna.
Kisi apne ka zindagi bhar ka sath hai,
dosti dard nahi khushiyo ki saugaat hai,
ye to dilo ka wo khubsurat yehsas hai,
jiske hone se roshan sari kaynaat hai.
Ye chand mere dost ko ek taufa dena,
tu sitaro ki mehfil ke sapne de dena,
chhupa dena tu un andhero ko apni roshni se,
aur chandni raat ke baat khubsurat savera dena.
Chand hai to ye khubsurat chandni raat hai,
sitaro se hum karte teri hi baat hai,
hamara zindagi itni pyari isliye hai,
kyuki tumhari dosti hamare sath hai.
Ye chand ne chand ko yaad kiya,
aur pyar ne pyar ko yaad kiya,
lekin hamare paas na chand hai na pyar,
isliye humne chand jaise dost ko yaad kiya.
Lagta hai kuch acha hone ja raha hai,
koi apna mithi sapno mein khone ja raha hai,
ye chand dhimi kar de jara tu apni roshani,
ab mera dost lagta hai sone ja raha hai.
Dekho kitni jaldi shaam ho gayi,
dosto ko good night kahne ki baat aa gayi,
hum to baithe the taaro ke bich mein,
par jab chand ko dekha to dosto ki yaad aa gayi.
Hume pata nahi ki kon si baat aakhiri ho,
na jaane kon si mulakat aakhiri ho,
isliye dosto ko yaad karke sote hai,
kya pata zindagi mein kon si raat aakhiri ho.
Ye mere dost jab bhi tu udaas hoga,
mera khayal tere hi aas paas hoga,
dil se jab bhi yaad karoge hume,
tumhe hamare kareeb hone ka yehsas hoga.
Nafrat ko hum pyar dete hai,
dosto pe hum khushiyan waar dete hai,
soch samajhkar humse koi wada karna,
hum waade par zindagi guzaar dete hai.
Muskurahat ka koi mol nahi hota,
kuch rishto ka koi tol nahi hota,
dost to mil jaate hai har raste mein,
par har koi aapki tarah anmol nahi hota.