Aap nahi hote to hum kho gaye hote,
apni zindgi se ruswa ho gaye hote,
hum to aapko good morning kahne ke liye uthe hai,
warna hum to abhi tak so rahe hote.
Mausam ki bahaar acchi ho,
phoolo ki kaliya kacchi ho,
rab se meri ab ek hi duaa hai,
mere yaar ki har ek subah acchi ho.
Nayi si subah aur naya sa sawera,
suraj ki kirno mein hawaao ka basera,
aur khule aasmaan mein suraj ka chehra,
mubarak ho aapko ye naya sawera.
Hawaao ke hatho ek armaan bheja hai,
roshni ke jariye ek paigaam bheja hai,
agar fursat mile to kabul ka lena,
is nachij ne subah ka salaam bheja hai.
Raat gujri fir mahkti hui subah aayi,
dil dhadka to fir aapki yaad aayi,
hamari aankho ne mahsus kiya us hawa ko,
jo aapko chhukar hamare paas aayi.
Raat ki chaandi se magta hu ek sawera,
phoolo ki chamak se magta hu rang gahra,
daulat aur shohrat se tallukh nahi hai mera,
mujhe to bas har subah chahiye sath tera.
Subah ka ujaala sada aapke sath ho,
har din har pal aapke liye khaas ho,
dil se duaa nikalti hai aapke liye,
duniya ki saari khushiya aapke paas ho.
Wada kiya hai to unhe hum nibhayenge,
suraj ki kiran bankar aapke karib aayenge,
hum hai to judai ka gum kaisa,
teri har subah ko hum phoolo se sajayenge.
Yaado ke bhawar mein ek pal hamara ho,
khilte chaman mein ek gul hamara ho,
subah jab bhi yaad kare aap apno ko,
to us yaad mein ek naam hamara ho.
Uth kar dekhiye subah ka nazara,
hawa bhi hai thandi aur mausam bhi hai pyara,
so gaya chand aur chhup gaya har ek sitara,
kubul ho aapko salam ye subah hamara.
Subah hote hi jab duniya abaad hoti hai,
aankh khulte hi dil mein aapki yaad hoti hai,
khushiyon ke fool ho aapki aanchal mein,
rab se meri yahi fariyaad hoti hai.
Subah ko satana accha lagta hai,
soye huye ko jagana accha lagta hai,
jab yaad aati hai hume aapki to,
aapko bhi apni yaad dilana accha lagta hai.
Ye suraj aata hai nayi kirno ki umang lekar,
har din aata hai nayi kamyaabiyo ko lekar,
gamo ka saya bhi na ho aapke aangan mein,
aapka har din aaye dher saari khushiya lekar.
Subah ki ye pyari kirne boli mujhse,
uthkar bahar dekho kitna haseen najara hai,
maine kaha ruko pahle use message karlu,
jo is subah se bhi jyada pyara hai.
Taaji hawa mein fulo ki mahak ho,
pahli kiran mein chidyo ki chahak ho,
jab bhi kholo tum apni palke,
un palko mein bas khushiyo ki jhalak ho.
Beet gayi hai taaro wali sunhari raat,
yaad aai hume fir se wahi baat,
khushiyo se har pal ho aapki mulakaat,
isliye muskura ke karna apni din ki shuruaat.
Tum sapno ke jaha se laut aao,
ho gayi subah ab jaag jaao,
chaan taaro ko kah ke alwida,
is naye din ki khushiyo mein kho jaao.
Har subah zindagi ki nayi shuruaat hoti hai,
kisi apne se baat ho to khaas hoti hai,
muskura ke apno ko good morning bolo,
kyuki khushiya to apno ke sath hoti hai.
Baharo ka sama hota hai aapke aane se,
hamari har subah hoti hai aapke muskurane se.
Thoda chhedna, thoda bahlana, thoda baho mein jhulana,
kuch is tarah se roj subah aap hume jagana.