Din me kab bhala raat ki raani ne fija mahkai hai,
raato me hi hume aapki yaado ne satai hai,
ye chalti hui dheemi hawaye kuchh batati hai,
tere pyar ki khushboo ko hamare paas laai hai.
Milne aayenge hum aapse khwabo me,
jara roshni ke diye bujha dijiye,
ab aur nahi hota intejaar aapse mulakat ka,
jara apni aankho ke parde ko gira dijiye.
Dil chahta hai ki tujhe roj dekha kare,
yaado me kab tak teri hum aahe bhare,
milna tumse shayad mere muqaddar me nahi,
kam se kam khwabo me to mulakaat kare.
Thandi thandi bheegi raato me,
jab hawa ka jhoka aata hai,
hum jaise hi aankhe band karte hai,
dil unki yaado me kho jata hai.
Jab in tanha raato me hamari yaad sataye,
aur raat ki hawa tumhari baalo ko sahlaaye,
Bas tum apni aankhe band karke so jaana,
Shayad hum aapke khwaabo me aa jaaye.
Is chand ka kaam hai raato ko roshni dena,
in taaro ka kaam hai saari raat chamakte rahna,
hamare dil ka kaam hai aapki yaad me dhadakte rahna,
aur hamara kaam hai aapki salamati ki duaa karte rahna.
Aaj aapki raat ki acchi shuruaat ho,
raat bhar khubsurat sapno ki barsaat ho,
jinhe aapki nigahe har waqt dhundhti rahti hai,
khuda kare aapse unki sapno me mulakaat ho.
Chand ki chandni se ek palaki banai hai,
ye palaki humne taaro se sajai hai,
ye hawa jara dheere dheere hi chalna,
meri mohabbat ko pyari si neend aai hai.
Raat aapki chand ki roshni jaisa ujala ho,
har koi aapko chahne wala ho,
aapka har waqt gujre unki hi yaado me,
aisa koi aapke sapno ko sajane wala ho.
Raato ko jab ye chand sitaare chamakte hai,
hum har pal aapki yaad me tadapte hai,
aap to chale jaate ho chhodkar hume,
hum to raat bhar aapse milne ko taraste hai.