Har duaa mein hum aapko hi mangte hai,
ae kash meri duaa kabhi to kabool ho jaaye,
raat mein khwaab mein dekhu aapko aur,
subah aap hamari zindagi mein shamil ho jaaye.

Tum chand ki tarah yu hi muskurate raho,
in sitaro ki tarah yuhi jagmagate raho,
gumsum range se rishte mein kam ho jaati hai mithas,
isliye khwabo mein humse milne aate raho.

Milne aayenge hum aapse khwabo mein,
aap khwabo mein hamara intejaar karna,
ab nahi hota intejaar aapse mulakaat ka,
jara apni aankho ke parde girakar rakhna.

Hoth kah nahi sakte fasana dil ka,
shayad nazar se hi hamari baat ho jaaye,
is ummid mein karte hai intejaar raat ka,
shayad sapne mein hi mulakaat ho jaaye.

Is chand mein agar aapka chehra na hota,
mera kambakht dil yu majboor na hota,
hum aapko good night kahne jarur aate,
agar aapka dil humse yu door na hota.

Agar hum had se jyada guzar jaaye,
to ek baar maaf kar dena,
magar aaj apne khwabo mein bulakar,
hume ek baar dil se laga lena.

Aap jo so gaye to khwaab hamara aayega,
pyari si muskan aapke chehre par laayega,
khidki darwaaje dil ke kholkar sona,
warna hamara khwaab kaha se aayega.

Na jaane kaise us shakhs ko yah hunar aata hai,
jab raat hoti hai wo mere khwabo mein utar aata hai,
uske har pal ke yehsas se bach ke jaau kaha,
kuch bhi kahu to labo pe uska hi naam aata hai.

Mere khwabo mein aapke hi nazare rahenge,
aapke palko par hamesha chand sitare rahenge,
chahe palat jaaye ye puri kaaynaat saari,
lekin hum to bas aapke hi deewane rahenge.

Is kadar hum aapki mohabbat mein kho gaye,
ek nazar dekha aur bas aapke ho gaye,
aankh khuli to pata chala yah ek sapna hai,
aankh band ki to fir se usi sapne mein kho gaye.