Ye safar dosti ka yu hi chalta rahe,
ye suraj chaahe har sham dhalta rahe,
na dhalegi apni dosti ki subah,
chahe har rishta kyu na badalta rahe.
Dosti wo mukam hai jo chehre se nahi jaati hai,
dosti wo khushboo hai jo sanso mein bas jaati hai,
mil jaye agar koi dost tumhare jaisa,
to zindagi bhi swarg ban jaati hai.
Dosti har chehre ki pyari si muskan hoti hai,
dosti hi to sukh dukh ki pahchan hoti hai,
agar ruth bhi gaye hum to dil par mat lena,
kyuki dosti thodi si nadan hoti hai.
Ye khuda mujhpe ek yahaan kar de,
mere dost ke kismat mein muskan likh de,
na mile kabhi jivan mein use dard,
tu chahe to uski kismat mein meri jaan likh de.
Dost hai to aansuon ki bhi pahchan hoti hai,
dost na ho to mahfil bhi viran hoti hai,
is jivan me sara khel to dosti ka hi hai,
varna mayyat aur barat ek saman hoti hai.
Ye dost aapki dosti ka kya khitab de,
karte hai itna pyar ki ab kya hisab de,
agar aapse bhi accha fool hota to la dete,
lekin jo khud guldasta ho use kya gulab de.
Na mile kisi ka sath to hume yaad kar lena,
tanhai agar mahsus ho to hume yaad kar lena,
Khushiyan baatne ke liye to hajar honge,
par jab gum batna ho to hume yaad kar lena.
Mohabbat aur dosti mein fark itna hi hai,
varsho baad wo ek dusre se milte hai,
to mohabbat nazre chura leti hai,
aur dosti gale laga leti hai.
Beshak thoda intejaar mila humko,
lekin duniya ka sabse haseen yaar mila humko,
na rahi tamanna ab kisi jannat ki hume,
teri dosti mein hi saccha pyar mila humko.
Kash dil ki awaaj mein itna asar ho jaaye,
ki jab bhi yaad kare dost ko unko khabar ho jaaye,
ab rab se bas yahi duaa rahti hai hamari,
ki dost ke ghar pe khushiyon ki barsat ho jaaye.
Kis had tak jana hai ye kon jaanta hai,
kis manjil ko pana hai ye kon jaanta hai,
ye dosti ke do pal ji bhar ke ji lo,
kis roj bichhad jana hai ye kon jaanta hai.
Koshish karo koi aapse na ruthe,
zindagi mein apno ka sath na chhute,
dosti kaisi bhi ho use aisa nibhaao,
ki us dosti ki dor zindagi bhar na tute.