Aane wala har ek kal,
bas hamare liye saj raha hai,
aap hamare sath chal rahe hai,
to ye safar accha lag raha hai.
Meri chahate mujhe bekarar karti hai,
mujhse jyada ye tujhse pyar karti hai.
Tumhare khayalo se hi mere din ki shuruaat hoti hai,
kuch beete aur kuch aane wale lamho se baat hoti hai.
jab dhalta hai shaam to main bhi tumhare sath dhal jaati hu,
bas aise hi meri har subah aur shaam hoti hai.
Ye najdikiya kabhi hamara sath na chhode,
hum faaslo ko inkaar karte hai,
jitna aap humse pyar karte ho,
utna hi hum aapse pyar karte hai.
Naraaj hona aapse ye galti kahlayegi,
agar aap huye naraaj to ye saanse tham jayegi,
aap haste rahe yuhi zindagi bhar,
aapke hasne se hamari zindagi sanwar jayegi.
Main hotho se kuchh kah nahi paati hu,
to najre jhuka ke pyar ka izhar karti hu,
sirf tum hi humse pyar nahi karte,
main bhi tumse pyar karti hu.
Har ghadi har waqt mujhe tumhare sath chalna hai,
zindagi ka har pal tumhare sath gujaru yahi tamanna hai.
Mohabbat bhari najro mein khwab milenge,
kahi kaate to kahi gulaab milenge,
mere dil ki kitaab ko padh ke to dekho,
kahi aapki yaad to kahi khud aap milenge.
Hum har pal har waqt ek hi khwaab ko dekhte hai,
jab bhi aankhe band karte hai to aap ko dekhte hai.
Ye jo rishta aapne joda hai ise pyar se nibhayenge,
chahe kitni bhi mushkile aaye hum umar bhar saath nibhayenge.
Wajah sirf tum ho jo main apne aap ko sanwarti hu,
tasveer tumhari nazar aati hai jab main aaine mein khudko niharti hu.
Jab tumse mili to main puri ho gayi,
tumahri chahat mere liye jaruri ho gayi,
tum rehna sath mere yu hi umr bhar,
is jamane se ab meri duri ho gayi.
Ab har pal main tumhare sath gujarti hu,
jab bhi aaina dekhti hu to muskurati hu,
ye kaisi mohabbat hai jo mujhe sanwar rahi hai,
ghanto baithti hu aur khudko niharti hu.
Ab bah raha hai ishq in hawaaon mein,
puri hui mannate jo mangi thi duaaon mein.
Ab ishq ho gaya hai hume aapse,
is ishq pe aitbaar kar lenge,
aap gunah karke to dekho,
hum aapko giraftar kar lenge.