Shaam se aankh mein nami si hai,
aaj fir aap ki kami si hai.

Rutba kam hai magar lajawaab hai mera,
wo har kisi ke dar par dastak de,
wo kirdar nahi hai mera.

Etni si zindagi hai par khwaab bahut hai,
jurm to pata nahi sahab par eljaam bahut hai.

Hum apni is ada par gurur karte hai,
kisi se pyar ho ya nafrat bharpur karte hai.

Hawa gujar gayi patte the kuchh hile bhi nahi,
wo mere shahar mein aaye bhi aur mile bhi the.

Khuda tune to lakho ki taqdeer sanwari hai,
mujhe dilasa to de ki ab teri baari hai.

Sacchi meri dosti aajma ke dekh lo,
karke yakin muh par mere paas aa kar dekh lo.

Tinka sa main aur samundar sa ishq,
Doobne ka dar aur doobna hi ishq.

Pucha jo humne kisi aur ke hone lage ho,
wo muskura kar bole pahle tumhare the kya.

Wo mohabbat bhi tumhari thi,
wo nafrat bhi tumhari thi,
hum apni wafa ka insaf kisse mangte,
wo shahar bhi tumhara tha,
wo adalat bhi tumhari thi.

Din kuch aise gujarta hai koi,
jaise yehsan utarta hai koi.

Is daur ke logo mein wafa dhundh rahe ho,
bade nadan ho sahab,
jahar ki shishi mein dawa dhundh rahe ho.