Maa teri yaad satati hai mere paas aa jaao na,
thak gaya hu mujhe apne aanchal mein sulaao na,
ungliyan fer kar mere baalo mein,
ek baar fir se wo bachan ki loriya sunao na.
Phool me jis tarah khushboo achchi lgti hain,
mujhko us taraha meri maa achchi lagti hain,
sari salamat or khush rakhe meri maa ko,
sari duaon me mujhe ye dua achchi lagti hai.
Maa na hoti to wafa kaun karega,
mamta ka haq ada kaun karega,
rab har ek maa ko salamat rakhe,
warna hamare liye dua kaun karega.
Maa ke bina zindgi viran hoti hai,
tanha safar mein har rah sunsaan hoti hai,
zindagi me maa ka hona zaroori hai,
maa ki duaon se hi har mushkil aasan hoti hai,
Waqt se kuch palon ko main chura lu,
maa ki god mei kuch pal sukoon ke bita lu,
Maa ke charno ki dhool ko maathe pe laga lu,
maa se kiye har ek waade ko mei zinda rehte nibha lu.
Maa ki ajmat se accha jaam kya hoga,
maa ki khidmat se accha kaam kya hoga,
khuda ne rakh di ho jis ke kadmo mein jannat,
socho uske sar ka mukaam kya hoga.
Aankhe kholu to chehra meri maa ka ho,
aankhe band ho to sapna meri maa ka ho,
main mar jaau to bhi koi gam nahi,
lekin kafan mile to dupatta meri maa ka ho.
Baccho ko khilakar jab sula deti hai maa,
tab jakar thoda sukoon paati hai maa,
pyar kahte hai kise aur mamta kya chij hai,
koi un baccho se pooche jinki gujar jaati hai maa.
Maa to jannat ka phool hai,
pyar karna to uska usool hai,
duniya ki saari mohabbat fizool hai,
maa ke kadmo ki mitti jannat ki dhool hai.
Apni khwahishon ko kurbaan karte dekha hai,
kabhi gussa karte huye bhi pyar jatate dekha hai,
baccho ka pet bharte bharte khud khali pet sote dekha hai,
aisa ek farishta maine apni maa ke roop mein dekha hai.