Shabnab ki bunde phoolo ko bheega rahi hai,
subah ki thandi lahre taajgi jaga rahi hai,
ho jaaiye aap bhi inme shamil,
ye pyari si subah aapko bula rahi hai.

Bin sawan barsat nahi hoti,
suraj dube bina raat nahi hoti,
kya kare ab kuch aise halaat hai ki,
aapke bina din ki shuruaat nahi hoti.

Socha kisi apne se baat kare,
apne kisi khaas ko yaad karte hai,
kiya jo faisla subhkamnaye dene ka,
dil ne kaha kyu na aap se shuruaat karte hai.

Jannat ki wadiyo mein ho mahal aapka,
khwabo ki wadi mein ho shahar aapka,
sitaro ke aangan mein ho ghar aapka,
dua hai sabse khubsurat ho ye din aapka.

Waqt kabhi bewafa nahi hota,
har din kisi ka bura nahi hota,
sochte hai jo dusre ke liye achha,
unhe khudki khubiyon ka pata nahi hota.

Kya maangu main khuda se tere waste,
har din khushiya hi rahe tere raste,
hansi tere chehre pe rahe is tarah,
khushbu phoolo ka sath nibhati hai jis tarah.

Subah subah hum aapko yaad karte hai,
ek sandesh se aapko salaam karte hai,
soch raha hu ki aaj hum aapko kya de,
chalo din ki saari khushiya aapke naam karte hai.

Subah ke saare phool khil gaye,
panchi apne safar pe ud gaye,
suraj aate hi taare bhi chhup gaye,
kya aap mithi neend se uth gaye.

Hum na hote to aap kho gaye hote,
apni zindagi se ruswa ho gaye hote,
hum to aapko good morning kahne uthe hai,
warna hum to ab tak so rahe hote.

Subah ka ujala sada aapke sath ho,
har din har pal aapke liye khaas ho.

Ye subah teri duniya mein roshni bhar de,
tere har gamo ko khushiyon se bhar de,
jab bhi tootne lage teri sanse,
khuda tujhme shamil meri zindagi kar de.

Subah hote hi jab duniya aabad hoti hai,
hamare is dil mein aapki yaad hoti hai,
khushiyo ke phool ho aapke aanchal mein,
ye mere hotho pe pahli fariyaad hoti hai.

Subah ki hawaye aur chidiyon ki aawaz,
dekho pyari si subah kar rahi hai intejar,
ab to jaag jaao aur khol do aankhe,
ye subah lekar aaya hai dher sara pyar.

Aapki aankho ko jaga diya humne,
subah ka apna farz nibha diya humne,
mat sochna ki bas yu hi tang kiya humne,
subah uthkar pahle aapko yaad kiya humne.

Suraj nikalne ka waqt ho gaya,
phool khilne ka waqt ho gaya,
mithi nind se ab jaag jaao tum,
sapne ko haqikat me laane ka waqt ho gaya.

Subah subah kaliyo ke khilne ke sath,
naye din ke ek pyare yehsas ke sath,
ek naye utsah aur vishvas ke sath,
din shuru ho aapka ek muskaan ke sath.

Ye subah ek khubsurat pegam dene aaya hai,
khushi se bhara din aur hasi shaam dene aaya hai,
jab kholo tum subah subah apni palke,
to us chehre par ek pyari si muskan dene aaya hai.

Nayi subah aapki suhani ho jaaye,
Aapke dukho ki sari baate purani ho jaaye,
de jaaye itni khushiya ye din aapko,
ki ye kushi bhi aapki deewani ho jaaye.