Mohabbat mein milkar aisa koi kaam kare,
ki saari duniya hamare ko salaam kare.
Mohabbat kabhi lautkar nahi aati,
kyunki mohabbat hoti to chhod kar hi nahi jaati.
Lamhe judai ke bekrar karte hai,
haalat mere mujhe lachar karte hai,
aankhe meri padh lo kabhi,
hum khud kaise kahe ki aapse pyar karte hai.
Kitna pyar karte hai tumse yah kaha nahi jata,
bas itna jaante hai ki bina tumhare raha nahi jata.
Jaise jaise din guzarte ja rahe hai,
waise waise kuch log dil se utarte ja rahe hai.
Sabko lagta hai main kamjor hu,
isliye dekho aaj main kuch aur hu.
Samandar ki tarah hai hamari pahchan,
upar se khamosh aur andar se toofan.
Jis cheez ka tumhe khauf hai,
us cheez ka hume shauk hai.
Hum jaise sirfire hi itihas rachte hai,
samajhdar to kewal itihas padhte hai.
Ek alag pahchan banane ki aadat hai hume,
jakhm ho jitna gahra utna muskurane ki aadat hai hume.
Aasmaan par thikane kisi ke nahi hote,
jo zameen par nahi hote wo kahi pe nahi hote.
Ye jo abhi halat hai mera ek din sudhar jayega,
lekin kafi log is dil se utar jayega.
Hum apna waqt barbad nahi karte,
jo chala gaya hum unhe yaad nahi karte.
Attitude ka wo nasha chadha hai mujh par jo na utrega,
shakhsiyat bhale hi mit jaaye par ye banda kisi ke aage nahi jhukega.
Waqt ne fasaya hai lekin main pareshan nahi hu,
halato se haar jaau main wo insaan nahi hu.
Zindagi mein jiska koi goal nahi,
beta uska duniya mein koi mol nahi.
Duniya mein rahkar duniya ke sath log chalte hai,
hum to attitude mein rahkar duniya mein chhati thok kar chalte hai.
Aaj bhi hum haari hui baazi khelna pasand karte hai,
kyuki hum apni kismat se jyada khud par bharosa karte hai.
Online duniya ka jamana hai,
instagram ka stylish dp lagana hai.
Mera attitude to meri nishani hai,
tu bata tujhe koi pareshani hai.