Apne sab yaar kaam kar rahe hai,
aur hum hai ki naam kar rahe hai.
Gawai kis tamanna mein zindagi maine,
wo kaun hai jise dekha nahi kabhi maine,
tera khayal to hai par tera wajood nahi,
tere liye ye mahfil sajai maine.
Jabt kar ke hansi ko bhul gaya,
main to us jakhm ko hi bhul gya.
Hamare jakhm ye tamanna ho gaye hai,
ki us gali mein gaye ab jamane ho gaye hai.
Mahak utha hai aangan is khabar se,
wo khushbu laut aai hai safar se.
Aakhiri baar aah kar li hai,
maine khud se nibah kar li hai,
apne sar ek bala to leni thi,
apne wo zulf apne sar li hai.
Hum ji rahe hai koi bahana kiye bagair,
us ke bagair us ki tamanna kiye bagair.
Bedili kya yuhi din gujar jayenge,
sirf zinda rahe hum to mar jayenge.
Ek hunar hai jo kar gaya hu main,
sab ke dil se utar gaya hu main.
Saare rishte tabah kar aaya,
Dil ye barbad apne ghar aaya,
main raha umar bhar juda khud se,
yaad main khud ko umar bhar aaya.
Ek hunar hai jo kar gaya hu main,
sabke dil se utar gaya hu main,
kya batau ki mar nahi pata,
jeete ji jab se mar gaya hu main.
Dil tamanna se dar gaya janab,
sara nasha utar gaya janab.
Kaam ki baat maine ki hi nahi,
ye mera taur ye zindagi hi nahi.
Yaado ka hisaab rakh raha hu,
seene mein jawab rakh raha hu,
tum kuch kahe jaao, kya kahu main,
bas dil mein jawaab rakh raha hu.
Kitne yesh se rahte honge kitne itrate honge,
jaan kaise log wo honge jo us ko bhaate honge.
Kaisa dil aur is ke kya gam ji,
yu hi baate banate hai hum ji.
Yu jo takta hai aasman ko tu,
koi rahta hai aasman mein kya,
yah mujhe chain kyu nahi padta,
ek hi shakhs tha jaha mein kya.
kaun se shauk kis hawas ka nahi,
dil meri jaan tere bas ka nahi.
Dil ye barbaad ko abaad kiya hai maine,
aaj muddat mein tumhe yaad kiya hai maine.
Naya ek rishta paida kyu kare hum,
Bichadna hai to jhagda kyu kare hum.