Aankho mein mere aansu aa jaate hai,
lekin labo pe hasi laani padti hai,
ye mohabbat bhi kya cheej hai yaaro,
jis se karo usi se chhupani padti hai.
Khaali nahi dil hamara tere pyar ko pala hai,
ummid dikhakar tune hume andhere mein kyu dala hai.
Likhne ko jab bhi uthata hu kalam,
dil na jaane hamara kaha kho jata hai,
yaad aati hai teri to dekhta hu aasmaan ko,
aur har jagah badlo mein tu hi najar aata hai.
Mukaddar ki lakiro se main unhe churana chahta hu,
main marte dam tak unka sath nibhana chahta hu.
Tera hath pakadakar do kadam chalna chahta hu,
teri god mein sar rakh do pal sona chahtu hu,
aur tum palke uthakar meri taraf dekh lo,
main apni ruh ko teri ruh se milana chahta hu.
Kisi ko nafrat hai mujhse,
aur koi pyar kar baitha,
kisi ko yakin nahi mujhpe,
aur koi aitbaar kar baitha.
Apna dard ab hum tanhaiyo ko sunate hai,
hume nind aati hai magar so nahi paate hai,
kaise bataye tujhko takleef dil ki,
yaad aati hai teri to bas roye jaate hai.
Tujhse milne ko dil kab se besabar hai,
na manjil ka pata hai na rasto ka khabar hai,
bas ab to aapki yaad mein hi hum zinda hai,
lagta hai mujhpe teri mohabbat ka hi asar hai.
Jis din tu aankho se mujhe ghayal kar gayi,
usi din se mujhe tujhse mohabbat ho gayi.
Wo khamoshi meri jaan nahi pata,
use dekhe bina mujhe chain nahi aata,
na jaane kaisi kashish hai uski chahat mein,
usse do pal ki doori dil sah nahi pata.