Fir na simtegi mohabbat agar bikhar jaayegi,
zindagi julf nahi jo fir se sanwar jaayegi,
thaam lo hath uska ji pyar kare tumse,
kyuki ye zindgi lautati nahi agar gujar jaayegi.
Door jakar bhi mujhe apne paas paaogi,
nafrat karke bhi mujhe apne karib paaogi,
tum is kadar mere mein bas gai ho,
kya kabhi tum mere pyar ko samajh paaoge.
Phoolo par jaise padti hai barish ki bauchhar hai,
chamakne ko jaise phool bhi taiyar hai,
usi tarah mera dil bhi bekrar hai,
ab kaise kahu mujhe tujhse kitna pyar hai.
Mere sapno mein har roj tum aati ho,
har subah mujhe tum hi jagati ho,
itna kyu tum mujhe satati ho,
agar pyar hai to kyu nahi kah ho.
Jivan mein mujhe sirf tera pyar chahiye,
tanha hai mera hath tera hath chahiye,
junun ye ishq ko teri saugat chahiye,
mujhe jeene ke liye tera sath chahiye.
Puri umr tumhare sath main chalna chahta hu,
tere naam ke sath apna naam jodna chahta hu,
tujhme hi ab mera rab dikhta hai,
apni jaan se bhi jyada main tujhe chahta hu.
Aankhon ki gahrai ko samajh nahi sakte,
hotho se hum kuch kah nahi sakte,
ab kaise baya kare aapko ye dil ye haal,
ek tum hi ho jiske bina hum rah nahi sakte.
Naino se naina milakar mohabbat ka ijhaar karu,
bankar aos ki bunde zindagi teri gulzar karu,
sanwar jayegi teri meri zindagi ishq ke safar mein,
tham le tu hath mera main tere har baat par yetbar karu.
Apni mohabbat se sajana hai tujhko,
kitni chahat hai ye batana hai tujhko,
raho mein bichha ke mohabbat apni,
pyar ke safar pe le jana hai tujhko.
Ikrar mein shabdo ki yehmiyat nahi hoti,
dil ke jajbato ki aawaj nahi hoti,
aankhe baya kar deti hai dil ki dastan,
mohabbat lafzo ki mohtaaz nahi hoti.
Apne dil ki baat unhe kah nahi sakte,
bin kahe bhi hum rah nahi sakte,
kash ki wo khud aake kahte humse,
ki hum bhi aapke bina rah nahi sakte.
Teri khushiyon ko main sajana chahta hu,
Tujhe dekhkar muskurana chahta hu,
meri zindagi mein kya ahmiyat hai tumhari,
Ye lafzo mein nahi paas aakar batana chahta hu.