Jheel aankhon ko na hothon ko kamal kahte hai,
hum to jakhmo ki numaish ko gazal kahte hai.
Mere alfaaz ka yah sheesh mahal sach ho jaaye,
main tera zikr karu meri gazal sach ho jaaye,
zindagi bhar to koi jhooth jiya hai maine,
tu jo aa jaaye to yah aakhiri pal sach ho jaaye.
Ek tooti hui janjeer ki fariyaad hai hum,
aur duniya samajhti hai ki azaad hai hum,
humko is daur ki tarikh ne diya kya ‘Meraj’,
kal bhi barbaad the aaj bhi barbaad hai hum.
Ye yakino ke khuda shahar guma kiska hai,
noor tera hai charago mein dhuaan kiska hai.
Aankh aur khwaab mein ek raat ki doori rakhna,
ye musvveer meri tasveer adhuri rakhna,
ab ke takhleeq jo karna koi rishto ka nizaam,
dushmani ke bhi kuch adaab jaruri rakhna.
Suna hai band kar li usne aankhe,
kai raaton se wo soya nahi tha.
Muhabbat ko meri pahchaan karde,
mere maula mujhe insaan kar de,
muhabbat, pyar, rishte, bhaichara,
hamare dil ko hindustan kar de.
Badh gaya tha pyas ka ahasas dariya dekhkar,
hum palat aaye magar paani ko pyasa dekhkar,
khudkhushi likhi thi ek bewa ke chehre par magar,
fir wo zinda ho gayi bachche bilakhta dekhkar.
Padhaao na rishto ki koi kitaab mujhe,
padhi hai baap ke chehre ki jhuriyan maine.