Hatho ki lakiro pe mat ja ye galib,
naseeb unke bhi hote hai jinke hath nahi hote.

Ishq par jor nahi hai ye wo aatish galib,
ki lagaye na lage aur bujhaye na bujhe.

Isliye kam karte hai zikr tumhara,
kahi tum khaas se aam na ho jaao.

Wo aaye ghar mein hamare khuda ki kudrat hai,
kabhi hum unko to kabhi apne ghar ko dekhte hai.

Nazar lage na kahi uske dast ao baaju ko,
ye log kyu mere jakhme jigar ko dekhte hai.

Ye hum jo hizr mein diwar ao dar ko dekhte hai,
kabhi saba ko kabhi nabar ko dekhte hai.

Har ek baat pe kahte ho tum hi tu kya hai,
tumhi kaho ki ye andaz ye guftagu kya hai.

Log kahte hai dard hai mere dil mein,
aur hum thak gaye muskurate muskurate.

Zindagi se hum apni kuch udhar nahi lete,
kafan bhi lete hai to apni zindagi dekar.

Ragon mein daudte firne ke hum nahi kayal,
jab aankh se hi na tapka to fir lahu kya hai.

Maut pe bhi mujhe yakin hai,
tum par bhi yetbar hai,
dekhna hai pahle kaun aata hai,
hume dono ka intezar hai.

Ishq ne galib nikamma kar diya,
warna hum bhi aadmi the kaam ke,

Wo umar bhar kahte rahe tumhare sine mein dil nahi,
dil ka daura kya pada ye daag bhi dhul gaye.

Dukh de kar sawal karte ho,
tum bhi galib kamal karte ho.

Hume pata hai tum kahi aur ke musafir ho,
hamara shahar to bas yu hi raste mein aaya tha.

Dard ho dil mein to dawa kije,
dil hi jab dard ho to kya kije.

Hum to fana ho gaye uski ankhe dekhkar galib,
na jaane wo aaina kaise dekhte honge.

Unko dekhne se jo aa jaati hai muh par ronak,
wo samajhte hai ki bimar ka haal achha hai.

Humko malum hai jannat ki haqikat lekin,
dil ko khush rakhne ki galib ye khayal achha hai.

Dil ye nada tujhe hua kya hai,
aakhir is dard ki dawa kya hai.