Pyar hamara ab mtlabi nikal gya,
dekhte hi dekhte mausam ki tarah badal gya.
Is tarah hum sukoon ko mahfuj kar lete hai,
tanhai mein hum tumhe khudme mahsus kar lete hai.
Hamesha sath rahne ka waada karke,
usne hume palbhar mein bhula diya,
ye kaisa pyar tha unka,
aaj bhi unke waade ne rula diya.
Har waqt ka hasna mujhe barbad na kar de,
ye tanhai ke lamhe kahi mujhe tanha na kar de.
Aag dil mein tab lagi, jab wo humse khafa huye,
yehsas hume tab huaa, jab wo humse juda huye.
Dil ke dard ko chupane ki aadat hai,
kisi apne ka sath paane ki chahat hai,
aap hamesha khush rahe, mera kya hai,
mujhe to ab tutne ki aadat hai.
Tanhai mein chalte chalte pair ladkhada rahe hai,
pahle sath tha koi lekin ab akele ja rahe hai.
Yah mat kahna ki teri yaad se rishta nahi rakha hai,
main khud tanha raha par dil ko tanha nahi raha hai.
Jaanta to pahle se hi tha main,
lekin yehsas ab ho raha hai,
akela to bahut samay se tha main,
par mehsoos mujhe ab ho raha hai.
Barbadiyo ka haseen ek mela ho gaya hu main,
sabke rahte huye bhi bahut akela ho gaya hu main.