Radha krishn ka milan to ek bahana tha,
duniya ko prem ka sahi matlab samjhana tha.
Shyam ki bansi jab bhi baji hai,
radha ke man mein prit jagi hai.
Har sham har kisi ke liye suhani nahi hoti,
har pyar ke pichhe koi kahani nahi hoti,
kuch asar to hota hai do aatma ke mel ka,
warna gori radha, saanwale krishn ki deewani na hoti.
Man ki aankho ko jab tera deedar ho jata hai,
mera to har din priy mohan tyauhar ho jata hai.
Daulat chhodi shohrat chhodi sara khajana chhod diya,
krishn ke prem deewano ne sara jamana chhod diya.
Kanha hardam mere sath hai fir kya kami hai,
virah mein nahi prem ki vajah se aankho mein nami hai.
Radha krishn ki prem kabhi adhuri nahi rahi,
wo hamesha sath rahe unme koi doori nahi rahi.
Pyar mein na jaane kitni badha dekhi,
fir bhi krishn ke sath hardam radha dekhi.
Radha ko kanha ne pyar paigam likha,
pure khat mein sirf radha ka hi naam likha.
Krishn ki prem bansuriya sun bhai wo prem deewani,
jab jab kanha murli bajaye daudi aaye radha rani.
Sudh budh kho rahi radha rani,
intzaar ab saha na jaaye,
koi kah do saavre se,
wo jaldi radha ke paas aaye.
Madhuvan mein bhale hi kanha kisi gopi se mile,
man mein to radha ke hi prem ke phool khile.
Nandlaal ki mohni surat dil mein basa rakhe hai,
apne jeevan ko unhi ki bhakti mein laga rakhe hai,
ek baar bansuri ki madhur taan sunade kanha,
hum ek chhoti si aas laga rakhe hai.
Radha ke sacche prem ka yah inam hai,
kanha se pahle log Radha ka lete naam hai.
Kartavy path par jaate jaate keshav gaye the rook,
dekh dasha radha rani brahma bhi gaye the jhuk.