Subah shaam mere dil ne rab se duaa maangi,
tujhe maanga aur teri wafa maangi,
hamara pyar kabhi kam na ho,
maine apni khushi se pahle teri khushi maangi.

Dil ki baato ko jubaa pe aane de,
teri aankho mein mujhe aaj kho jaane de,
aadat ho gai hai mujhe tere pyar ki,
is pyar ke samandar mein doob jaane de.

Chahat ka silsila is kadar badhaa hai,
humne apni sanso mein unka hi naam padha hai.

Mere dil mein jo baat hai tujhse kahna hai,
dhadkan banke tere dil mein hi rahna hai,
har pal tere sang mai jeena chaahta hu,
maut aaye to teri baaho mein hi marna hai.

Jhukkar mein apne pyar ka ijhaar karta hu,
apni jaan se bhi jyada mein tujhse pyar karta hu.

Khuda ka raham hai mujhe tujh se milaya hai,
tum hi meri manjil ho ye dil ko samjhaya hai,
ek pal bhi ab tumse door nahi rahna mujhe,
ab tere sang hi apna jivan bitana hai.

Aapka pyar sath hota to kya baat hoti,
jivan ke safar mein tere hatho mein meri hath hoti,
sapno mein hi aapse pyar ki baate hoti hai,
agar ye sapne hakikat ban jaate to kya baat hoti.

Jo main ruth jaau to tum mana lena,
kuch na kahna bas sine se laga lena.

Chura ke humse najar kaha tak jaaoge,
jaha bhi jaaoge sirf hume hi paaoge.

Aankhe band karu to tujhe dhadkano ke karib paau,
ab sapno mein bhi tere aur karib jaau,
tujhe baaho mein bharkar bhi dil nahi bharta,
isse jyada tujhe aur kitna kareeb laau.

Tumhari hansi mein hi chhupi meri muskaan hai,
tumhari dhadkan mein hi basi meri jaan hai.

Mere muskurahat ki wajah tum bane rahna,
yuhi pyar ka ye daaman bas thaame rahna,
jivan ke har safar mein tumhare saath rahuga,
jab mushkile aaye mere saath khade rahna.

Chand sa ye masum chehra tera,
tu ek haya ki moorat hai,
tujhe dekh ke kaliya bhi sarma jaaye,
tu itni khubsurat hai.

Khubsurat sa ek pal kissa ban gaya,
na jane kab wo meri zindagi ka hissa ban gaya.
wo zindagi ke safar mein mile kuch aise,
ki unse kabhi na tutne wala rishta ban gaya.

Har ek jaam ka nasha aapki aankho mein hai,
pal mein madhosh karde aisi ada aapki baaato mein hai.

Kaha se laau wo lafz jo sirf tujhe sunai de,
duniya dekhe chand ko aur mujhe sirf tu dikhai de.

Mein chahta hu jab jab meri aankhe khule,
mere saamne bas tumhara hi chehra ho,
tumhara ye dil sirf mere liye dhadke,
aur is dil pe sirf mera hi pehra ho.

Meri aankho ki chamak aur palko ki shaan ho tum,
meri chalti hui saanse aur is dhadkan ki jaan ho tum.

Judaai sehne ki aadat nahi hai,
bin tere rahne ki chahat nahi hai,
chahat hai to sirf tere sath jeene ki,
bin tere jeene ki hamari khwahish nahi.

Na chand ki chahat na taaro ki farmaish,
har janam mein tera sath ho itni si hai khwahish.