Dil ka haal batana nahi aata,
hume apne pyar ko jatana nahi aata,
baate to karna chahte hai aapse,
par hume baate karne ka bahana nahi aata.

Teri aankho mein mujhe ishq nazar aata hai,
mera ye dil tujhe beinteha chahta hai.

Tumhare bina jivan ab saja ban gai,
tum hi mere jine ki wajah ban gai.

Har waqt hum tumhe hi chahte hai,
khuda se sirf tumhe hi magte hai.

Hamare bich jo duriya hai use kam karlo,
hume seene se lagakar apne sang karlo.

Teri sanso ki tapish se main,
maum sa pighal rahe hai,
tere pyar ke noor se hum,
chand se bhi khubsurat dikh rahe hai.

Aaine se hi apne dil ki baat karte ho,
saamne se kehdo ki aap bhi hume pyar karte ho.

Wo jaate jaate is dil ko awara kar gai,
najro se hi mohabbat ka ishara kar gai.

Na koi kisi se door hota hai,
na koi kisi ke kareeb hota hai,
wo khud mil jaate hai safar mein,
jo jiska naseeb hota hai.

Berang zindagi mein koi rang chahiye,
jivan ke safar mein tera sang chahiye.

Aapke baato ke jaadu se ye dil behak jaata hai,
aapke nashile aankho se hi nasha chadh jaata hai.

Tu hi mera pyar hai aur tu hi meri zindagi,
tu hi mera khwab hai aur tujhse hi hai meri zindagi.

Bahut sukoon milta hai jab unse hamari mulakaat hoti hai,
tab wahi pal hamare liye puri kaaynaat hoti hai.

Pyar ke meethe ehsass yaad aane lage hai,
khwabo mein hum unki tasveer banane lage hai,
tumhar pyar ka asar is kadar chadha hai,
maano har pal hum tumhare kareeb aane lage hai.

Dekhi jo surat to ye dil machal gaya,
aapki adaa pe ye dil fisal gaya.

Tu meri rooh ki talab ban ja,
mai teri chahat ban jaau,
is kadar tujhe pyar karu ki,
teri dil ki dhadkan ban jaau.

Khamosh labo par bhi mohabbat gungunati hai,
tu sirf meri hai dil se yahi aawaj aati hai.

Tujhe dekhte hi ye dil bekrar hone laga,
teri chahat pe mujhe ab ikrar hone laga.

Aankho ki chamak aur palko ki shan ban gaye ho,
chehre ki hansi aur dhadkano ki jaan ban gaye ho.

Jab dhadkano ko tham leta hai koi,
jab khayalo mein hamara naam leta hai koi,
yaade tab aur yaadgar ban jaati hai,
jab hume humse behtar jaan leta hai koi.