Dil khol kar saari baate kar lete hai,
zindagi ke gam ko hum milkar sah lete hai,
gujaar dete hai sara din masti majak mein,
aise hi hum dosti ke lamho ki ji lete hai.
Dosti ki kadr karna har kisi ko nahi aata,
har koi is dosti ke farj ko nibha nahi pata,
dosti nibhane ke liye bahut kuch sahna padta hai.
iski mehakti hawaaon mein bhi bahna padta hai.
Chhu le tu aasman jamin ki talash na kar,
ji le ye zindagi khushi ki talash na kar,
taqdeer bhi badal jaayegi khud hi mere dost,
muskurana sikh le wajah ki talash na kar.
Khuda ka shukriya itne pyare dosto se milane ke liye,
zindagi ke har lamhe ko itna khubsurat banane ke liye,
dost hai to gam ko bhi khushiyon mein badal dete hai,
khuda ka shukriya mujhe itna khushnaseeb banane ke liye.
Taqdeer likhne wale mujh pe ek yehsan kar de,
mere dosto ki taqdeer mein ek muskan likh de,
na mile kabhi koi dard mere dosto ko,
tu chahe to unki kismat mein meri jaan likh de.
Kahi andhera to kahi shaam hoti hai,
meri har khushi dosto ke naam hoti hai,
yakin na ho to kuch maang kar dekh mere dost,
hotho par hansi aur hatheli par jaan hoti hai.
Aapki hamari dosti to suro ka saaj hai,
aap jaise dost par hame hamesha naaj hai,
ab chahe kuch bhi ho jaaye zindagi mein,
dosti to vaise hi rahegi jaise aaj hai.
Pyar se kaho to ye aasman mang lo,
ruth kar kaho to hamari muskan mang lo,
tamanna yahi hai ki ye dosti mat todna,
fir chahe haskar hamari jaan maang lo.
Na mile kisi ka sath to hame yaad karna,
agar tanhai mehsus ho ti hame yaad karna,
khushiya baatne ke liye to hajaro milenge,
jab gam baatna ho to is dost ko yaad karna.
Hum apne aap par kabhi gurur nahi karte,
kisi ko pyar karne par majbur nahi karte,
jise ek baar hum dil se dost bana le,
use marte dam tak dil se dur nahi karte.