Meri dhadkan ka dhadkna tumhare liye aam hai,
lekin meri zuba pe har waqt tumhara hi naam hai.

Jab se humne tumhara pyar paya hai,
tumhare har khwahisho ko pura karke dikhaya hai,
yaad karoge tum bhi hume har pal,
kyuki tumne sacche aashiq se dil lagaya hai.

Ye dil bhi kisse mohabbat kar raha hai,
jiske hum ho nahi sakte usi ke liye dhadak raha hai,
kehte hai sacchi mohabbat nashib mein nahi hoti,
fir bhi ye dil use paane ke liye kismat se lad raha hai.

Kaash dil ki ek khwahish puri ho jaati,
mere naraj hone pe wo mujhe pyar manati,
aur hamara pyar itna gehra hota,
bina bole hi wo meri dil ki baat samajh jaati.

Zindagi mein to sapne hajaar hai,
un sapno mein tumhara hi intjaar hai,
kab tak humse najre churawoge,
ab keh do ki tumhe bhi mujhse pyar hai.

Hume unke husn ka najara mil gya,
is dil ko dhadakne ka ishara mil gya,
ab kisi aur ki chahat nahi hai hume,
jab se unke pyar ka sahara mil gya.

Kabhi dil ki dhadkan to kabhi sans ban jaayu,
tumhe is kadar chaahu ki tumhari pahchaan ban jaayu,
agar kabhi tumse door jo chale gye hum,
jaane se tumhare jeene ka armaan man jaayu.

Jab se tum mile ho mera khuda mujhse naraj ho gya,
ab mere kuch nahi maagne se wo pareshaan ho gya,
khuda ne pucchha kya tumhai saari khwahishe puri ho gae,
ab kaise bataye ki unka pyar hi aakhiri khwahish ho gya.

Baato ko alfaaj bhi kaha jata hai,
khamoshi ko pyar bhi kaha jata hai,
jaruri nahi ki har pal hum saath ho,
kabhi dooriyo se bhi pyar badh jata hai.

Muskurahat ka koi mol nahi hota,
kuch rishto ka koi tol nahi hota,
waise to log kai milte hai hume,
par koi aapki tarah anmol nahi hota.