Raat ki chandni se mang lu savera,
phoolo ki chamak se mang lu rang gahra,
daulat aur shohrat se vasta nahi hai mera,
mujhe to har subah chahiye bas sath tera.

Sapno ki duniya se ab laut aao,
ho gai hai subah ab to jaag jaao,
chand taaro ko ab tum kah do alwida,
aur is naye din ki khushiyon mein kho jaao.

Jaane kab subah subah wo rishta ban gaya,
ek anjana jaane kab apna ban gaya,
hume pal bhar bhi yehsas na hua,
aur koi hamari subah ki jarurat ban gaya.

Ye chandni raat alvida kah rahi hai,
aur ek thandi si hawa dastak de rahi hai,
uth kar dekho jara subah ka najara,
ye pyari subah tumhe good morning kah rahi hai.

Kabhi bhula dete hai to kabhi yaad kar lete hai,
kabhi rula dete hai to kabhi hansa dete hai,
par sach kahu to subah jab baat hoti hai aapse,
to mere pure din ko aap khubsurat bana dete hai.

Zindagi ki har sham tere liye hai,
ye mahfil ye shahar ye naam tere liye hai,
aap muskurate raho hamesha taaro ki tarah,
ye subah ka paigam bhi mera sirf tere liye hai.

Dil ka kaha maano aur ek kaam kar do,
is benaam si mohabbat ko mere naam kar do,
mujh par bas itna yehsan kar do,
ek subah milo aur use shaam kar do.

Sapno ki tarah hum saja kar rakhenge,
chandni raat ki najro se chhupa kar rakhenge,
agar meri taqdeer mein hoga sath tumhara,
to zindagi bhar tumhe apna bana kar rakhenge.

Dua yahi hai meri us khuda se,
ki ek aisa din bhi zindagi mein aaye,
jaise mile the heer aur ranjha,
kuchh usi tarah mujhko bhi tu mil jaaye.

Har subah yaado pe tera hi basera hota hai,
jaise mere liye sabse jaruri kaam ho tum,
main khud ko bhi rok nahi pata hu,
jaise meri zindagi ka khubsurat inaam ho tum.