Apni sanso mein mahakta hua paya tujhe,
har khwab mein apne paas bulaya tujhe,
bhala hum kyu na kare yaad aapko,
jab khuda ne hamare liye banaya tujhe.
Aapki har ada mujhe mohabbat si lagti hai,
pal bhar ki judai bhi sadiyon si lagti hai,
na jaane kaisa asar ho gaya is mohabbat ka,
ab har pal mujhe aapki zarurat si lagti hai.
is deewangi mein hum kuch aisa kar jaayenge,
mohabbat ki saari hado ko paar kar jaayenge,
wada hai dil bankar tum mere seene mein dhadkoge,
aur sans bankar hum aapke dil mein utar jaayenge.
Jab bhi aaina dekhoge to meri yaad aayegi,
sath mein guzri wo mulakat yaad aayegi,
pal bhar ke liye ye waqt bhi thahar jaayega.
jab meri koi baat aapko yaad aayegi.
Khuda se bas yahi ibadat karta rahu,
dil banke tere seene dhadakta rahu,
aur har baar mujhe tera hi pyar naseeb ho,
aur har janam main tujh pe hi marta rahu.
Aaj dil ki baat batane ki ijazat de do,
aaj ye shaam mujhe sajane ki ijazat de do,
duniya ki sari khushiya aapke naam kardu,
bas apni zindagi mein aane ki ijazat de do.
Main khud nahi jaanta wo kitni pyari hai,
jaan hai hamari par jaan se bhi pyari,
duriyo ke hone se koi fark nahi padta,
wo kal bhi hamari thi aur aaj bhi hamari hai.
jo kuch bhi kila hai usi main khush rahte hai,
hum aapke liye khuda se takrar nahi karte,
lekin kuch to baat hai aapki fitrat mein,
warna aapko chahne ki khata baar baar nahi karte.
meri deewangi ki ab koi had nahi,
teri surat ke siwa mujhe kuch yaad nahi,
teri dhadkano mein basi hai meri jaan,
tere siwa mujh pe kisi ka haq nahi.
Khushboo bankar teri sanso mein shama jaayenge,
sukoon bankar hum tere dil mein utar jaayenge,
ek baar mahsus to kijiye hamare pyar ko,
hum door rahkar bhi aapke paas nazar aayenge.