Dil ka kaha maano aur ek kaam kardo,
is benaam si mohabbat ko mere naam kardo,
aur mujh par bas itna ehsan kardo,
ek subah ko milo aur shaam kardo.
Sapno ki tarah hum saja kar rakhenge,
chandini raat ki najro se chhupakar rakhenge,
agar meri takdeer mein hoga sath tumhara,
to tumhe jivan bhar apna banakar rakhenge.
Subah mere chehre par muskan ki barsaat hoti hai,
jab hamari aapse baat hoti hai,
aur jab aap bhi hume good morning bolte ho,
usi pal hamare achche din ki shuruaat hoti hai.
Ye raat guzari fir mehakti subah aai,
dil dhadka aur fir aapki yaad aai,
hamari aankho ne mahsus kiya us hawa ko,
jo aapko chhukar hamare paas aai.
Har subah teri zindagi mein itni roshni kar de,
ki tere jivan ke har andhere ko tujhse door kar de.
Nayi nayi subah aur naya naya savera,
suraj ki kirne aur hawaao ka basera,
is khule aasmaan mein suraj ka chehra,
mubarak ho aapko ye khubsurat savera.
Is raat ki chandni se mangta hu savera,
aur phoolo ki khushboo se mangta tu rang gahra,
daulat aur shohrat ki chahat nahi hai hume,
hume to bas chahiye har subah mein sath tera.
Sapno ki duniya se tum laut aao,
ho gayi hai subah ab to jaag jaao,
chand taaro ko kah do tum alvida,
aur is naye din ki khushiyo mein kho jaao.
In taaji hawa mein phoolo ki mahak ho,
pahli kiran mein chidiyo ki chahak ho,
jab bhi tum kholo apni palke,
un palko mein bas khushiyo ki jhalak ho.
Subah hui nahi aur aap yaad aa gaye,
aankhe khuli nahi aur aankho mein chha gaye.