Wada kiya hai to unhe hum nibhayenge,
suraj ki kiran bankar aapke karib aayenge,
hum hai to judai ka gum kaisa,
teri har subah ko hum phoolo se sajayenge.
Mere aankho ka ek khubsurat khwaab ho tum,
mere is dil ka har ek jazbaat ho tum.
Besak abhi meri nazro se door ho tum,
lekin mere dil ke sabse karib ho tum.
Tujhe dekhkar mere dil ko aisa khayal aata hai,
har pal mera dil tere sath rahna chahta hai.
Ye dil aapse milne ko bekarar hai,
kaise kahu aapse hume kitna pyar hai.
Jab jab humne aapko dekha hume mohabbat ho gaya,
ab hamara har din pahle se jyada khubsurat ho gaya.
Taaro ki chamak hi chand ki khubsurati badhati hai,
aur patni ki khushi hi ghar ko svarg banati hai.
Mausam ki bahaar acchi ho,
phoolo ki kaliya kacchi ho,
rab se meri ab ek hi duaa hai,
mere yaar ki har ek subah acchi ho.
Hawaao ke hatho ek armaan bheja hai,
roshni ke jariye ek paigaam bheja hai,
agar fursat mile to kabul ka lena,
is nachij ne subah ka salaam bheja hai.
Yaado ke bhawar mein ek pal hamara ho,
khilte chaman mein ek gul hamara ho,
subah jab bhi yaad kare aap apno ko,
to us yaad mein ek naam hamara ho.
Raat gujri fir mahkti hui subah aayi,
dil dhadka to fir aapki yaad aayi,
hamari aankho ne mahsus kiya us hawa ko,
jo aapko chhukar hamare paas aayi.
Raat ki chaandi se magta hu ek sawera,
phoolo ki chamak se magta hu rang gahra,
daulat aur shohrat se tallukh nahi hai mera,
mujhe to bas har subah chahiye sath tera.
Subah ka ujaala sada aapke sath ho,
har din har pal aapke liye khaas ho,
dil se duaa nikalti hai aapke liye,
duniya ki saari khushiya aapke paas ho.
Nayi si subah aur naya sa sawera,
suraj ki kirno mein hawaao ka basera,
aur khule aasmaan mein suraj ka chehra,
mubarak ho aapko ye naya sawera.
Aapki har ada mujhe mohabbat si lagti hai,
pal bhar ki judai bhi sadiyon si lagti hai,
na jaane kaisa asar ho gaya is mohabbat ka,
ab har pal mujhe aapki zarurat si lagti hai.
Apni sanso mein mahakta hua paya tujhe,
har khwab mein apne paas bulaya tujhe,
bhala hum kyu na kare yaad aapko,
jab khuda ne hamare liye banaya tujhe.
Koi wada na karo koi irada na karo,
Khwahishon mein khud ko adha na karo,
milega utna hi jitna likh diya hai khuda ne,
Is taqdeer se ummid jyada na karo.
Teri khushiyo ke bich ab hum kabhi nahi aayenge,
tujhe bina bataye hi is duniya se door chale jayenge.
Meri zindagi ki kitaab mein har adhyay tumhara hai,
kahani to meri hai lekin har panna pe naam tumhara hai.
Har mohabbat mein ek raaj hota hai,
baat batane ka bhi andaaz hota hai,
jab tak na lage thokar bewafai ka,
har kisi ko apne pyar pe naaz hota hai.