Ye dost main tumhe bhool jau ye teri bhool hai,
teri kya taarif karu tu mahakta hua phool hai.

Kuchh galtiya ki hai jo hume sawarna hai,
dosti ke farz ko ab hume bhi nibhana hai.

Apni jaan se bhi jyada dosto se pyar hai,
kyuki har bure waqt mein mere sath mere yaar hai.

Ab to hum dard se khelna sikh gaye,
ab bewafai ke sath jeena sikh gaye,
kya bataye ki kitna dil toota hai hamara,
ab maut se pahle kafan aodhkar sona sikh gaye.

Jab dil mein na bachi ho jagah kisi aur ke liye,
to dil ko kyu bekraar kare kisi aur ke liye.

Jab tera khayal is dil se takrata hai,
to dil na chahte huye bhi khamosh ho jata hai,
koi sab kuch kah kar bhi kuch nahi kah pata hai,
aur koi bina kuch kahe hi sab kuch kah jata hai.

Gam kitna hai ye hum bata nahi sakte,
jakhm kitne gahre hai ye dikha nahi sakte,
jara hamare in aansuo ko to dekh lo,
ye aansu gire hai kitne ye hum gina nahi sakte.

Kuch pal paas aakar fir door chale jaate hai,
yaha marham lagane wale hi jakhm de jaate hai.

Tujhse door jaane ka koi irada na tha,
par rukte bhi kaise tu hi hamara na tha.

Yaha bewafao ka koi naam nahi hota,
bewafao se ishq karna aasaan nahi hota.

Kitna dard hai dil mein par hume yehsas nahi,
koi tha bahut khas par ab wo paas nahi,
hume to unke ishq ne barbaad kar diya,
aur wo ab kahte hai ki ye koi pyar nahi hai.

Tera yu mere sapno mein aana ye tera kasur tha,
aur tujh se dil lagana ye mera kasur tha,
koi aaya tha pal do pal ko zindagi mein,
aur use apna samajh lena ye mera kasur tha.

Is jamane mein koi kisi ka khas nahi hota,
log tabhi baat karte hai jab timepass nahi hota.

Wafa ka dariya kabhi rukta nahi,
mohabbat mein premi kabhi jhukta nahi,
kisi ki khushiyo ke khatir hum chup hai,
par ye na samajhna ki ye dil dukhta nahi.

Hum to khwaab ki duniya mein bas khote gaye,
hosh to tha fir bhi hum madhosh hote gaye,
us ajnabi chehre mein kya jaadu tha,
na jaane kyu us bewafa ke hum hote gaye.

Hajaro mahfil hai aur laakho mele hai,
lekin jaha tum nahi waha hum akele hai.

Na mera dil bura tha na usme koi burai thi,
nasim ka khel hai bas kismat mein hi judai thi.

Hum jaante hai aap jeete ho jamane ke liye,
par ek baar to jeeke dekho sirf hamare liye,
hamara dil kabhi bewafa nahi ho sakta,
hum to jaan bhi de denge aap ko paane ke liye.

Accha hua jo tumne dil ko tod diya,
ek sacche insaan ka sath tumne chhod diya.

Majburiyo ko hum aankho mein chhupa lete hai,
hum kaha rote hai ye halaat rula dete hai,
hum to har pal yaad karte hai aapko,
aap yaad na karne ka ilzaam laga dete hai.