Pahle jo muskurane ki wajah the,
ab wo rulane ki wajah ban gaye,
pahle jo wafa ki baate karte the,
ab na jaane kyu wo bewafa ban gaye.
zindagi mein beshak koi pal khushi ka na ho,
par ye khuda mera dost kabhi mujhse juda na ho.
Daulat se agar dost bane to wah dost nahi,
par sach kahu to dost jaisi koi daulat nahi.
Jab duniya ne hamara sath chhod diya,
tab hamare dosto ne hamara hath tham diya.
Wo tod ke dil humse ye duriya kar gayi,
na jaane kyu is mohabbat adhuri kar gayi,
ab hume tanhaiya chubhti hai to kya kare,
kam se kam uski saari tamanna to puri ho gayi.
Na jaane ye jamana humse kya chahta hai,
ab har koi hume aajmana chahta hai,
jaane kya baat jhalakti hai hamare chehre se,
har koi hume hansa kar rulana chahta hai.
Majburiyo ko hum aankho mein chhupa lete hai,
hum kaha rote hai ye halaat rula dete hai,
hum to har pal yaad karte hai aapko,
aap yaad na karne ka ilzaam laga dete hai.
Ishq ki bas itni si kahani hai,
ki mohabbat bewafa ki nishani hai.
Ek khubsurat sa rishta kuch yu khatm ho gaya,
wo najarandaj karte rahe mohabbat kam ho gaya.
Bin baat ke hi ruthne ki aadat hai,
kisi apne ka sath paane ki chahat hai,
aap khush rahe mera kya main to aaina hu,
aur aaine ko to tootne ki aadat hai.
Tere bina zindagi gujarna mumkin nahi hai,
kisi ko is dil mein basana aasaan nahi hai,
hum to tere paas kab ke chale aaye hote,
lekin tune kabhi hume dil se pukara hi nahi.
Sochta raha raatbhar karwat badal badal kar,
wo kyu badal gaye mujhko itna badal kar.
Humne jaan laga di apna ghar basane mein,
unhe sharm bhi na aayi ise jalane mein.
Din hua hai to raat bhi hogi,
ho mat udas kabhi baat bhi hogi,
wo pyar hai hi itna pyara ki,
zindagi rahi to fir mulakat bhi hogi.
Chingaari ka khauf hume na diya karo,
hum apne dil mein aag lagaye baithe hai,
are hum to kab ka jal gaye hote is aag mein,
lekin hum to khud ko aansuo mein bhigaye baithe hai.
Dard ki bhi apni hi ek ada hai,
ye to sahne walo par hi fida hai.
Aaj main kuch nahi hu ye baat maine mana,
kal ko mashhur ho jaau to rishta mat banana.
Hum aakhir kyu kare bharosa gairo par,
jab chalna hai hume apne hi pairo par.
Main sach kahne ki himmat rakhta hu,
isliye aajkal rishte kam rakhta hu.
Jaha sach na chale waha jhoot hi sahi,
jaha hak na chale waha loot hi sahi.