Dard ki bhi apni hi ek ada hai,
ye to sahne walo par hi fida hai.

Abhi tu naya naya hai bete maine khel sare khele hai,
jin ke dam par tu uchalta hai wo mere hi chele hai.

Pure shahar mein naam chalta hai photo lage hai thane mein,
sher jaisa jigra chahiye humko hath lagane mein.

Teri ego to do din ki kahani hai,
lekin meri akkad to khandani hai.

Pyar se baat karoge to pyar paoge,
agar akad dikhaoge to laat khaoge.

Badshah ho ya malik salami hum nahi karte,
raja ho ya rajkumari gulami hum nahi karte.

Rahte hai aas paas hi lekin sath nahi hote,
kuch log jalte hai mujhse bas khak nahi hote.

Tumne pucha tha na kaisa hu main,
kabhi bhul na paoge aisa hu main.

Yah jo sar par ghamand ka taaj rakhte hai,
hum atitude mein unke bhi baap lagte hai.

Kuch sahi to kuch kharab kahte hai,
log hume bigda hua nawab kahte hai.

Mere hotho pe bas tera naam hai,
tumhe chahna bas mera kaam hai.

Bas do pal teri banho mein khushi se jeena chahta hu,
tere hotho ka jaam apne hotho se pina chahta hu.

Aaj har ek pal khubsurat hai,
dil mein mere sirf teri hi surat hai,
tere hotho ko mere hotho se chhu jaane de,
duniya se jyada mujhe teri jarurat hai.

Apne hotho se main choom lu aankhe teri,
tere karib aakar mahsus karu sanse teri.

Kash mere hoth tere hotho ko chhu jaaye,
dekhu jaha bas tera hi chehra nazar aaye,
ho jaaye hamara rishta kuchh aisa,
ki chah kar bhi hum na kabhi juda ho paaye.

Ek kiss paane ke talabgaar ho gaye hum,
aur ise maange to gunahgar ho gaye hum.

Tum ek khubsurat gulab jaisi ho,
bahut najuk ek sapne jaisi ho,
hotho se chhukar pi jaau tumhe,
tum sar se paaw tak ek sharab jaisi ho.

Dil ab tere aur karib aana chahta hai,
pyar se ye tere hotho ko chumna chahta hai.

Labo ko chumte waqt jab wo,
apni nazro ko jhukaati hai,
dil ka haal ajeeb sa hota hai,
jab wo hole se muskurati hai.

Raato ko jab ye chand sitaare chamakte hai,
hum har pal aapki yaad me tadapte hai,
aap to chale jaate ho chhodkar hume,
hum to raat bhar aapse milne ko taraste hai.