Aaj dil ki baat batane ki ijazat de do,
aaj ye shaam mujhe sajane ki ijazat de do,
duniya ki sari khushiya aapke naam kardu,
bas apni zindagi mein aane ki ijazat de do.

Khuda se bas yahi ibadat karta rahu,
dil banke tere seene dhadakta rahu,
aur har baar mujhe tera hi pyar naseeb ho,
aur har janam main tujh pe hi marta rahu.

Jab bhi aaina dekhoge to meri yaad aayegi,
sath mein guzri wo mulakat yaad aayegi,
pal bhar ke liye ye waqt bhi thahar jaayega.
jab meri koi baat aapko yaad aayegi.

is deewangi mein hum kuch aisa kar jaayenge,
mohabbat ki saari hado ko paar kar jaayenge,
wada hai dil bankar tum mere seene mein dhadkoge,
aur sans bankar hum aapke dil mein utar jaayenge.

Aapki har ada mujhe mohabbat si lagti hai,
pal bhar ki judai bhi sadiyon si lagti hai,
na jaane kaisa asar ho gaya is mohabbat ka,
ab har pal mujhe aapki zarurat si lagti hai.

Apni sanso mein mahakta hua paya tujhe,
har khwab mein apne paas bulaya tujhe,
bhala hum kyu na kare yaad aapko,
jab khuda ne hamare liye banaya tujhe.

Koi wada na karo koi irada na karo,
Khwahishon mein khud ko adha na karo,
milega utna hi jitna likh diya hai khuda ne,
Is taqdeer se ummid jyada na karo.

Teri khushiyo ke bich ab hum kabhi nahi aayenge,
tujhe bina bataye hi is duniya se door chale jayenge.

Yu hi khamosh rahkar tumhe aajmayenge,
dekhte hai ab hum tumhe kab yaad aayenge.

Koi ilzaam rah gaya ho to,
wo bhi hamare naam kardo,
hum to pahle se hi bure the,
ab aur badnaam kardo.

Meri zindagi ki kitaab mein har adhyay tumhara hai,
kahani to meri hai lekin har panna pe naam tumhara hai.

Har mohabbat mein ek raaj hota hai,
baat batane ka bhi andaaz hota hai,
jab tak na lage thokar bewafai ka,
har kisi ko apne pyar pe naaz hota hai.

Jaruri nahi ki hume jisse pyar ho,
us shaks ko bhi humse hi pyar ho,
mohabbat ek tarfa bhi hoti hai,
shayad uske dil mein koi aur ho.

Pal bhar mein khudko mujhse dur kar gaya,
wo ek khubsurat rishte ko khatm kar gaya.

Jinhe hum zindagi mein sabse jyada haq dete hai,
wahi ek din hamare dil ko tod dete hai.

Hum apna ghar banane mein lage the,
aur wo hamara hi ghar jalane mein lage the.

Wo to tod ke chal gaya hai dil mera,
lekin apna ban chuka hai ye dard mera.

Subah mere chehre par muskan ki barsaat hoti hai,
jab hamari aapse baat hoti hai,
aur jab aap bhi hume good morning bolte ho,
usi pal hamare achche din ki shuruaat hoti hai.

Dil ka kaha maano aur ek kaam kardo,
is benaam si mohabbat ko mere naam kardo,
aur mujh par bas itna ehsan kardo,
ek subah ko milo aur shaam kardo.

Sapno ki tarah hum saja kar rakhenge,
chandini raat ki najro se chhupakar rakhenge,
agar meri takdeer mein hoga sath tumhara,
to tumhe jivan bhar apna banakar rakhenge.