Andaaz meri mohabbat ka sab laga lete hai,
jab tumhara naam sunkar hum muskura dete hai.
Hamari nigaho mein na dekho monde chura lunga.
hamare kareeb aao mohabbat sikha dunga,
aapse bahut gehra rishta hai hamara,
sapno mein bhi aaye to apna bana lunga.
Yehsas ke daman mein aansu girakar dekho.
pyar kitna hai aajma ke to dekho,
tumhe bhulkar kya hogi dil ki halat,
kisi aaine pe patthar gira kar dekho.
Khamosh hotho par bhi mohabbat gungunati hai,
tum meri ho dil se bas yahi awaaz aati hai.
Dheere se tumhe muskurate dekha hai,
dil se tumhe apna bana kar dekha hai,
zindagi khil khilane lagi hai meri,
kuch lamhe jab sath bita kar dekha hai.
Mere hatho mein tera hath chahiye,
zindagi ke safar mein tera sath chahiye.
Paas nahi ho fir bhi tumhe pyar karte hai,
dekhkar tasveer tumhari yaad karte hai,
dil mein itni tadap hai mere,
har waqt tujhse milne ki fariyaad karte hai.
Khwabo ko haqikat banana hai,
tere sang puri zindagi bitana hai.
Hath chhute bhi to rishte nahi chhoda karte,
waqt ki shakh se lamhe nahi toda karte.
Manzil bhi tum ho talash bhi tum ho,
ummeed bhi tum ho aas bhi tum ho,
tujh se judi hai meri har sanse,
ahsas tum ho pyas bhi tum ho.
Tumse mila jo pyar kuch naseeb the mere,
Hum un dino ameer the jab tum kareeb the mere.
Lagta hai zindagi aaj khafa hai,
chaliye chodiye ye konsi pahli dafa hai.
Yu bhi ek baar to hota ki samundar bahta,
koi yehsas to dariya ke aane ka hota.
Din kuch aisa gujarta hai koi,
jaise yehsan utarta hai koi.
Khushboo jaise log mile afsane mein,
ek purana khat khola anjane mein.
Hath bhi chhute to rishte nahi chhoda karte,
waqt ki shakh se lamhe nahi toda karte.
Khuli kitaab ke safhe ulatte rahte hai,
hawa chale na chale din badalte rahte hai.
Sham se aankh mein nami si hai,
Aaj fir aap ki kami si hai.
Mere shahar mein kuch aise log rahte hai,
jo jism ki bhukh ko ishq kahte hai.
Sanwar rahi hai aaj wo kisi aur ke liye,
lekin main aaj bhi bikhar raha hu uske liye.